qadam mila ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
lagan thī jis kī vo āḳhir svārāj le hī liyā
ġhulāmiyoñ se chhuTe taḳht-o-tāj le hī liyā
ḳhud apne haath meñ sab rāj-kāj le hī liyā
na.e vikās kā biiḌā bhī ab uThā ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
vatan kī apnī zamīñ āsmāñ ke ham-sar hai
ki taaj koh-e-himāla kā is ke sar par hai
isī vatan kā parastār ḳhud javāhar hai
isī kī jai ke zarā giit gungunāte chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
vo dekho haq kī samādhī se lau nikaltī hai
ki jis se prem kī jyotī diloñ meñ jaltī hai
usī ke nuur se insāniyat bhī Dhaltī hai
kiran se is kī añdheroñ ko jagmagā ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
hazār mushkileñ ik jast meñ ubuur karo
har ek roḌe ko Thokar se chūr-chūr karo
jo Daale raḳhna use rāste se duur karo
diler ho to musībat meñ muskurā ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
jo zāt-pāt ke bandhan banā.e baiThe haiñ
alag alag jo gharauñde basā.e baiThe haiñ
jo ektā kī haqīqat bhulā.e baiThe haiñ
vo so rahe haiñ abhī tak unheñ jagā ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
rahīm-o-rām pe takrār ye sharārat hai
ḳhudā ke naam pe takrār ye sharārat hai
duā salām pe takrār ye sharārat hai
tumheñ qasam hai vatan kī ye shar miTā ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
na.e vikās se ham desh ko banā.eñge
jahāñ hai ret vahāñ khet lahlahā.eñge
chaman-chaman meñ na.e phūl-phal khilā.enge
na.ī umang se dil aur nazar sajā ke chalo
qadam milā ke chalo haañ qadam milā ke chalo
vatan kī raah meñ ahl-e-vatan nibhā ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
lagan thi jis ki wo aaKHir swaraj le hi liya
ghulamiyon se chhuTe taKHt-o-taj le hi liya
KHud apne hath mein sab raj-kaj le hi liya
nae wikas ka biDa bhi ab uTha ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
watan ki apni zamin aasman ke ham-sar hai
ki taj koh-e-himala ka is ke sar par hai
isi watan ka parastar KHud jawahar hai
isi ki jai ke zara git gungunate chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
wo dekho haq ki samadhi se lau nikalti hai
ki jis se prem ki jyoti dilon mein jalti hai
usi ke nur se insaniyat bhi Dhalti hai
kiran se is ki andheron ko jagmaga ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
hazar mushkilen ek jast mein ubur karo
har ek roDe ko Thokar se chur-chur karo
jo Dale raKHna use raste se dur karo
diler ho to musibat mein muskura ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
jo zat-pat ke bandhan banae baiThe hain
alag alag jo gharaunde basae baiThe hain
jo ekta ki haqiqat bhulae baiThe hain
wo so rahe hain abhi tak unhen jaga ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
rahim-o-ram pe takrar ye shararat hai
KHuda ke nam pe takrar ye shararat hai
dua salam pe takrar ye shararat hai
tumhein qasam hai watan ki ye shar miTa ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
nae wikas se hum desh ko banaenge
jahan hai ret wahan khet lahlahaenge
chaman-chaman mein nae phul-phal khilaenge
nai umang se dil aur nazar saja ke chalo
qadam mila ke chalo han qadam mila ke chalo
watan ki rah mein ahl-e-watan nibha ke chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.