qahat-sali mein eid
kahte haiñ eid hai aaj apnī bhī eid hotī
bahbūd-e-mulk kī gar ham ko umiid hotī
haale meñ chāñd gar kal ham ko dikhā.ī detā
qufl-e-ḳhazāna apnā apnī kalīd hotī
uf be-zarī kā aalam allah re qahat-sālī
kyā ḳhaak eid hotī kyā ḳhaak eid hotī
kaTte agar na hindī talvār-e-muflisī se
ye eid ham-damoñ phir be-shak sa.iid hotī
karte agar tavajjoh mulkī muāmloñ par
jo koī baat hotī apne mufīd hotī
hukkām chāheñ jo kuchh dil meñ ḳhayāl kar leñ
thī baat tab ki bāham guft-o-shunīd hotī
logoñ ne kar diyā hai kyoñ chāñd ko muqaddam
gar ham 'falak’ na hote kis tarah eid hotī
kahte hain eid hai aaj apni bhi eid hoti
bahbud-e-mulk ki gar hum ko umid hoti
haale mein chand gar kal hum ko dikhai deta
qufl-e-KHazana apna apni kalid hoti
uf be-zari ka aalam allah re qahat-sali
kya KHak eid hoti kya KHak eid hoti
kaTte agar na hindi talwar-e-muflisi se
ye eid ham-damon phir be-shak said hoti
karte agar tawajjoh mulki muamlon par
jo koi baat hoti apne mufid hoti
hukkaam chahen jo kuchh dil mein KHayal kar len
thi baat tab ki baham guft-o-shunid hoti
logon ne kar diya hai kyon chand ko muqaddam
gar hum 'falak’ na hote kis tarah eid hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.