qahqaha
qahqaha kis ne ījād kiyā
tahqīq jaarī hai
muskurāte mausam meñ
bādaloñ ke gole aThkheliyāñ karte hue
sūraj ke sāmne aa.eñ
to lagtā hai
āsmāñ raqs meñ hai
sañglāḳh pahāḌoñ ke dāmanī chashmoñ ke
sur sun liye hoñge
yā phir kisī shāhzādī ne
muddat baad khule meñ añgḌā.ī lī hogī
āsmān pe rang
yūñhī nahīñ bikhre
ḳhayāl kahāñ chalā gayā
qahqahe pe tahqīq jaarī thī
ye be-sāḳhta ḳhushī kā saaz hai
kisī bhaTakte hue musāfir ko man-chāhī manzil mil jaa.e to qahqaha
yā phir lā-hāsil ko hāsil karne pe qahqaha
mazlūm ko insāf milā to qahqaha
ḳhushī ke saat rangoñ pe haavī hai kyā āTHvāñ qahqaha
nahīñ nahīñ hargiz nahīñ
ḳhushī ke sāz-o-sur hī alag haiñ
qahqaha to dard kī ījād hai
dard ne jab saarī sīḌhiyāñ ubuur kar liiñ
aziyyat se hotā huā vahshat meñ dāḳhil huā
yuuñ banā qahqaha
qahqaha kis ne ijad kiya
tahqiq jari hai
muskuraate mausam mein
baadalon ke gole aThkheliyan karte hue
suraj ke samne aaen
to lagta hai
aasman raqs mein hai
sanglaKH pahaDon ke damani chashmon ke
sur sun liye honge
ya phir kisi shahzadi ne
muddat baad khule mein angDai li hogi
aasman pe rang
yunhi nahin bikhre
KHayal kahan chala gaya
qahqahe pe tahqiq jari thi
ye be-saKHta KHushi ka saz hai
kisi bhaTakte hue musafir ko man-chahi manzil mil jae to qahqaha
ya phir la-hasil ko hasil karne pe qahqaha
mazlum ko insaf mila to qahqaha
KHushi ke sat rangon pe hawi hai kya aaTHwan qahqaha
nahin nahin hargiz nahin
KHushi ke saz-o-sur hi alag hain
qahqaha to dard ki ijad hai
dard ne jab sari siDhiyan ubur kar lin
aziyyat se hota hua wahshat mein daKHil hua
yun bana qahqaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.