qahqahe
bhayyā kī khā ke maar lagātā huuñ qahqahe
jab dekhte haiñ yaar lagātā huuñ qahqahe
dil meñ hai imtihān kā ġham kis tarah bhulā.ūñ
ho ho ke be-qarār lagātā huuñ qahqahe
jab dekhtā huuñ ḳhvāb ki schōl jal gayā
ḳhush ho ke baar baar lagātā huuñ qahqahe
kartā hai Dheñchūñ Dheñchūñ mire ilm kā gadhā
hotā huuñ jab savār lagātā huuñ qahqahe
nārāz ho ke ghar se jo koī nikāl de
jā kar nadī ke paas lagātā huuñ qahqahe
sar par agar paḌeñ kabhī yāroñ kī sainDeleñ
bāloñ ko maiñ sañvār lagātā huuñ qahqahe
mujh ko bahut hai qahqaha number kā intizār
kartā huuñ intizār lagātā huuñ qahqahe
har roz maiñ khilaune ke daftar ke aas paas
jā jā ke pāñch chaar lagātā huuñ qahqahe
aur pūchhte haiñ jab chachā yūsuf ye kaun hai
maiñ ro ke zār-zār lagātā huuñ qahqahe
ilyās DāñTe haiñ jo khiḌkī se jhāñk jhāñk
maiñ hans ke das hazār lagātā huuñ qahqahe
idrīs bhāgte haiñ mire pīchhe laTh liye
jaate haiñ jab vo haar lagātā huuñ qahqahe
yūnus jo pheñkte haiñ kabhī mujh pe belcha
maiñ ban ke ḳhāksār lagātā huuñ qahqahe
jab zīnat aapā kartī haiñ mujh ko nasīhateñ
maiñ sun ke be-shumār lagātā huuñ qahqahe
pāgal huuñ imtihān ke qābil nahīñ rahā
jis dil pe mujh ko naaz thā vo dil nahīñ rahā
is ġham meñ bār-bār lagātā huuñ qahqahe
bhayya ki kha ke mar lagata hun qahqahe
jab dekhte hain yar lagata hun qahqahe
dil mein hai imtihan ka gham kis tarah bhulaun
ho ho ke be-qarar lagata hun qahqahe
jab dekhta hun KHwab ki school jal gaya
KHush ho ke bar bar lagata hun qahqahe
karta hai Dhenchun Dhenchun mere ilm ka gadha
hota hun jab sawar lagata hun qahqahe
naraaz ho ke ghar se jo koi nikal de
ja kar nadi ke pas lagata hun qahqahe
sar par agar paDen kabhi yaron ki sainDelen
baalon ko main sanwar lagata hun qahqahe
mujh ko bahut hai qahqaha number ka intizar
karta hun intizar lagata hun qahqahe
har roz main khilaune ke daftar ke aas pas
ja ja ke panch chaar lagata hun qahqahe
aur puchhte hain jab chacha yusuf ye kaun hai
main ro ke zar-zar lagata hun qahqahe
ilyas DanTe hain jo khiDki se jhank jhank
main hans ke das hazar lagata hun qahqahe
idris bhagte hain mere pichhe laTh liye
jate hain jab wo haar lagata hun qahqahe
yunus jo phenkte hain kabhi mujh pe belcha
main ban ke KHaksar lagata hun qahqahe
jab zinat aapa karti hain mujh ko nasihaten
main sun ke be-shumar lagata hun qahqahe
pagal hun imtihan ke qabil nahin raha
jis dil pe mujh ko naz tha wo dil nahin raha
is gham mein bar-bar lagata hun qahqahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.