qaid-e-ba-mashaqqat
yūñhī kabhī kabhī
sanglāḳh chaTTānoñ se guzarte hue
ik lahrātā huā dariyā soch meñ utar aa.e to
mujhe kamzor na samajhnā
zindagī ab to taqrīban aadī ho chukī hai
dīvāroñ se baat karne kī
un ke biich agar kabhī koī chehra dikhā.ī paḌ jaa.e
to mujhe vahmī na samajhnā
chhoTī chhoTī rifāqateñ sañbhāl rakhne vaale
jab rishtoñ ke naam par piile paḌ jaa.eñ
to unheñ muaaf kar denā chāhiye
tanhā rahne kī achchhī aadat banāne meñ
Dher saarī burī ādatoñ ko tyāgnā paḌtā hai
mīThe shabdoñ ko tah meñ utar kar
zahr kī būñdeñ talāsh karnī paḌtī haiñ
saare chehroñ ko ulaT palaT kar paḌhnā paḌtā hai
sachchā.ī se bhāgte hue
ulTe qadmoñ use chhū kar
aag se guzarne kā ānand lenā paḌtā hai
itnī mehnat ke baa'd
agar koī bharpūr jī rahā ho
to us kī sāñseñ ginñe ke bajā.e
us kī umr naap lenā
yunhi kabhi kabhi
sanglaKH chaTTanon se guzarte hue
ek lahraata hua dariya soch mein utar aae to
mujhe kamzor na samajhna
zindagi ab to taqriban aadi ho chuki hai
diwaron se baat karne ki
un ke bich agar kabhi koi chehra dikhai paD jae
to mujhe wahmi na samajhna
chhoTi chhoTi rifaqaten sanbhaal rakhne wale
jab rishton ke nam par pile paD jaen
to unhen muaf kar dena chahiye
tanha rahne ki achchhi aadat banane mein
Dher sari buri aadaton ko tyagna paDta hai
miThe shabdon ko tah mein utar kar
zahr ki bunden talash karni paDti hain
sare chehron ko ulaT palaT kar paDhna paDta hai
sachchai se bhagte hue
ulTe qadmon use chhu kar
aag se guzarne ka aanand lena paDta hai
itni mehnat ke ba'd
agar koi bharpur ji raha ho
to us ki sansen ginne ke bajae
us ki umr nap lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.