qaid-e-hasti
maiñ qaid-e-hastī meñ
dukh kā bār-e-garāñ liye
taḌap rahā huuñ
sisak rahā huuñ
ye gumrahī hai
ki
raushnī
ye āgahī hai
ki tīrgī
maiñ raste se bahak rahā huuñ
bhaTak rahā huuñ
ye kin vādiyoñ meñ
jā rahā huuñ
nahīñ nahīñ
ufuq pe
chamak rahā huuñ
damak rahā huuñ
isī ko samjho
bahār-e-hastī
shabāb-e-hastī
yahīñ se
TuuTe
sharār-hastī
maiñ dil ke athāh sāgar meñ
habāb aur mauj kī mastiyoñ meñ
bhañvar ko DhūñD rahā huuñ
bhañvar hī zindagī hai
bhañvar meñ
azal ke aur abad ke
charāġh jalte haiñ
main qaid-e-hasti mein
dukh ka bar-e-garan liye
taDap raha hun
sisak raha hun
ye gumrahi hai
ki
raushni
ye aagahi hai
ki tirgi
main raste se bahak raha hun
bhaTak raha hun
ye kin wadiyon mein
ja raha hun
nahin nahin
ufuq pe
chamak raha hun
damak raha hun
isi ko samjho
bahaar-e-hasti
shabab-e-hasti
yahin se
TuTe
sharar-hasti
main dil ke athah sagar mein
habab aur mauj ki mastiyon mein
bhanwar ko DhunD raha hun
bhanwar hi zindagi hai
bhanwar mein
azal ke aur abad ke
charagh jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.