qaid-e-hayat o band-e-gham
āḳhir-e-shab kī udāsī nam fazāoñ kā sukūt
zaḳhm se mahtāb ke ristā hai kirnoñ kā lahū
dil kī vaadī par hai be-mausam ghaTāoñ kā sukūt
kaash koī ġham-gusār aa.e madārāteñ kare
mom-battī kī pighaltī raushnī ke karb meñ
dukh bhare naġhme sunā.e dukh bharī bāteñ kare
koī afsāna kisī TuuTī huī mizrāb kā
fasl-e-gul meñ rā.egāñ arz-e-hunar jaane kī baat
siip ke pahlū se motī ke judā hone kā zikr
mauj kī sāhil se Takrā kar bikhar jaane kī baat
dīda-e-pur-ḳhūñ se kaasa tak kī manzil kā bayāñ
zindagānī meñ hazāroñ baar mar jaane kī baat
adl-gāh-e-ḳhair meñ pāsañg-e-shar kā tazkira
ā.īna-ḳhāne meñ ḳhāl-o-ḳhat se Dar jaane kī baat
kaash koī ġham-gusār aa.e madārāteñ kare
mom-battī kī pighaltī raushnī ke karb meñ
dukh bhare naġhme sunā.e dukh bharī bāteñ kare
aaKHir-e-shab ki udasi nam fazaon ka sukut
zaKHm se mahtab ke rista hai kirnon ka lahu
dil ki wadi par hai be-mausam ghaTaon ka sukut
kash koi gham-gusar aae madaraaten kare
mom-batti ki pighalti raushni ke karb mein
dukh bhare naghme sunae dukh bhari baaten kare
koi afsana kisi TuTi hui mizrab ka
fasl-e-gul mein raegan arz-e-hunar jaane ki baat
sip ke pahlu se moti ke juda hone ka zikr
mauj ki sahil se Takra kar bikhar jaane ki baat
dida-e-pur-KHun se kasa tak ki manzil ka bayan
zindagani mein hazaron bar mar jaane ki baat
adl-gah-e-KHair mein pasang-e-shar ka tazkira
aaina-KHane mein KHal-o-KHat se Dar jaane ki baat
kash koi gham-gusar aae madaraaten kare
mom-batti ki pighalti raushni ke karb mein
dukh bhare naghme sunae dukh bhari baaten kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.