qaidan chiDiya
mujhe chhoḌ de ab to ai chhoTe laḌke
kiyā qaid tū ne hai kyoñ mujh ko bachche
maiñ mar jā.ūñgī haa.e pinjre meñ ghuT ke
mujhe chhoḌ dūñgī duā tujh ko chhuT ke
mire nanhe bachche daraḳhtoñ pe bhūke
mujhe yaad kar kar ke vo hoñge rote
zarā tīliyāñ pinjre kī toḌ de tū
maiñ bachchoñ kī maañ huuñ mujhe chhoḌ de tū
maiñ uḌ jā.ūñ phir se duā de ke tujh ko
tū jiitā rahe chhoḌ de ab to mujh ko
tumheñ gar koī band pinjre meñ kar de
to dekhūñ ki kaisā ho tum rañj karte
tumheñ apnī maañ yaad aa.egī kaisī
tumheñ yaad ghar kī satā.egī kaisī
ye sun khol kar achchhe laḌke ne piñjrā
usī dam uḌā dī vo nannhī sī chiḌiyā
mujhe chhoD de ab to ai chhoTe laDke
kiya qaid tu ne hai kyon mujh ko bachche
main mar jaungi hae pinjre mein ghuT ke
mujhe chhoD dungi dua tujh ko chhuT ke
mere nanhe bachche daraKHton pe bhuke
mujhe yaad kar kar ke wo honge rote
zara tiliyan pinjre ki toD de tu
main bachchon ki man hun mujhe chhoD de tu
main uD jaun phir se dua de ke tujh ko
tu jita rahe chhoD de ab to mujh ko
tumhein gar koi band pinjre mein kar de
to dekhun ki kaisa ho tum ranj karte
tumhein apni man yaad aaegi kaisi
tumhein yaad ghar ki sataegi kaisi
ye sun khol kar achchhe laDke ne pinjra
usi dam uDa di wo nannhi si chiDiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.