qaidi
ham sab apne apne aqīdoñ ke qaidī haiñ
jo kuchh ham ne samjhā us ko buujh liyā hai
jo kuchh ham ne dekhā us ko jaan liyā hai
jo kuchh ham ne chāhā us ko maan liyā hai
ham kab soch bhī sakte haiñ dīvār se aage
chhed kiye sīnoñ meñ ham ne apne aqīdoñ ke ḳhanjar se
ham ne diloñ meñ zahr bharā hai
ham ne fasīloñ kī dhāroñ se ḳhud ko bhī to kaaT diyā hai
ham sab apne apne aqīdoñ ke qaidī haiñ
hum sab apne apne aqidon ke qaidi hain
jo kuchh hum ne samjha us ko bujh liya hai
jo kuchh hum ne dekha us ko jaan liya hai
jo kuchh hum ne chaha us ko man liya hai
hum kab soch bhi sakte hain diwar se aage
chhed kiye sinon mein hum ne apne aqidon ke KHanjar se
hum ne dilon mein zahr bhara hai
hum ne fasilon ki dhaaron se KHud ko bhi to kaT diya hai
hum sab apne apne aqidon ke qaidi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.