phuul the aur qahr ḳhushbū kā
ḳhauf ke ghuñghrū chhan se bajne lage
chāñdnī ko faroġh thā itnā
raat bhar is tilism kā fitna
sar uThātā rahā mire andar
sehr meñ qaid aarzū meñ gum
sab ke sab ham
sab ke sab tum
jaan jokhoñ meñ Daal kar nikle
ik kushāda makān kī chhat par
nargisī chehre baal khole hue
mātamī sur meñ giit gaate hue
apnā to dil hī kaañp jaatā hai
us galī meñ hai bel phūloñ kī
jis kī ḳhushbū pe saañp aatā hai
phul the aur qahr KHushbu ka
KHauf ke ghunghru chhan se bajne lage
chandni ko farogh tha itna
raat bhar is tilism ka fitna
sar uThata raha mere andar
sehr mein qaid aarzu mein gum
sab ke sab hum
sab ke sab tum
jaan jokhon mein Dal kar nikle
ek kushada makan ki chhat par
nargisi chehre baal khole hue
matami sur mein git gate hue
apna to dil hi kanp jata hai
us gali mein hai bel phulon ki
jis ki KHushbu pe sanp aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.