qaidi
suno laḌkī
mohabbat ke safar meñ to
koī manzil nahīñ hotī
ki tapte regzāroñ meñ
hamesha chalnā paḌtā hai
ye aisā khel hai jis meñ
kahīñ bhī jiit hotī hai
na koī maat hotī hai
faqat jo qurb paane ko
mohabbat naam dete haiñ
bahut nādān hote haiñ
suno laḌkī
tumheñ to bint-e-havvā kī
nazar aatī hai majbūrī
tumheñ kaise batā.ūñ maiñ
ki maiñ jo ibn-e-ādam huuñ
mujhe bhī bāñdh rakhā hai
unhīñ rasmoñ rivājoñ ne
ki jin kī qaid meñ tum ho
unhī kā maiñ bhī qaidī huuñ
suno laDki
mohabbat ke safar mein to
koi manzil nahin hoti
ki tapte regzaron mein
hamesha chalna paDta hai
ye aisa khel hai jis mein
kahin bhi jit hoti hai
na koi mat hoti hai
faqat jo qurb pane ko
mohabbat nam dete hain
bahut nadan hote hain
suno laDki
tumhein to bint-e-hawwa ki
nazar aati hai majburi
tumhein kaise bataun main
ki main jo ibn-e-adam hun
mujhe bhi bandh rakha hai
unhin rasmon riwajon ne
ki jin ki qaid mein tum ho
unhi ka main bhi qaidi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.