qaidi
vo mere ġhusse kā ek lamha
jo Tal na paayā
thā dil ke ma.abad meñ ik ḳhudāvand
usī ko suulī pe maar Daalā
kiran umīdoñ kī raakh kar dī
masarratoñ kī tamām kaliyāñ
ḳhud apne pairoñ se rauñd Dālīñ
magar ye qatre
lahū ke qatre
darūn-e-sīna Tapak rahe haiñ
gavāh hoñgī ye zard āñkheñ
ki mere dil meñ ajab jahannum bhaḌak rahā hai
jo ho rahā hai huā kare vo
maiñ ik qaidī banā rahūñgā
ḳhud apnā qaidī
wo mere ghusse ka ek lamha
jo Tal na paya
tha dil ke mabad mein ek KHudawand
usi ko suli pe mar Dala
kiran umidon ki rakh kar di
masarraton ki tamam kaliyan
KHud apne pairon se raund Dalin
magar ye qatre
lahu ke qatre
darun-e-sina Tapak rahe hain
gawah hongi ye zard aankhen
ki mere dil mein ajab jahannum bhaDak raha hai
jo ho raha hai hua kare wo
main ek qaidi bana rahunga
KHud apna qaidi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.