qalam
ai qalam kyā kahūñ maiñ sehr-bayānī terī
hāl-e-dil apnā sunātā huuñ zabānī terī
tū khilātā hai na.e gul jo ravāñ hotā hai
rang ye shāḳh-e-gul-e-tar meñ kahāñ hotā hai
terī āvāz hai kānoñ ko sarīr-e-dilkash
sau tarānoñ se hai behtar ye nafīr-e-dilkash
ik jahāñ par hai tasallut tirā qabza terā
har zamāne meñ chalā kartā hai sikka terā
zauq hai jin ko samajhte haiñ vo tauqīr terī
chuTkiyāñ dil meñ liyā kartī hai tahrīr terī
baḌh ke e.ajāz se hai sehr-nigārī terī
naqsh-e-dilkash meñ tire shakl hai pyārī terī
kabhī do lafzoñ meñ rotoñ ko hañsā detā hai
hañsne vāloñ ko kabhī tū hī rulā detā hai
ham ne bachte na sunā ek bhī maarā terā
jo hai talvār vo hai māntī lohā terā
terī raftār se dil vaqf-e-alam hote haiñ
terī jumbish se sar aksar ke qalam hote haiñ
bhejtā hai kabhī paiġhām-e-mohabbat tū hī
dil-e-maġhmūm ko hai bā.is-e-hujjat tū hī
dushman-e-jān-e-hazīñ īsā-e-daurāñ tū hai
samm-e-qātil hai kabhī chashma-e-haivāñ tū hai
koī kis tarah kahe aaj se kal se tū hai
sab ko taslīm ye hai roz-e-azal se tū hai
ḳhatm tā-hashr nahīñ hogā kabhī kaam terā
saf.ha-e-dahr se miTne kā nahīñ naam terā
jitnī duniyā meñ kitābeñ haiñ raqam kiiñ tū ne
jalva-afroz nazar pyāre qalam kiiñ tū ne
terī jumbish kā natīja haiñ ye daftar lākhoñ
naqsh-e-ḳhush-rang ke mamnūn haiñ patthar lākhoñ
terā likkhā huā merā ḳhat-e-taqdīr bhī hai
kyā kahūñ lauh-e-jabīñ par tirī tahrīr bhī hai
do-jahāñ meñ hai laqab ḳhāma-e-qudrat terā
allah allāh ye hai pāya-e-rif.at terā
terī mamnūn mirī saiñkaḌoñ tahrīreñ haiñ
terī khīñchī huī ḳhush-rang vo tasvīreñ haiñ
ai qalam rishta-e-ulfat tirā TuuTe na kabhī
haath se 'bāsit'-e-ranjūr ke chhūTe na kabhī
ai qalam kya kahun main sehr-bayani teri
haal-e-dil apna sunata hun zabani teri
tu khilata hai nae gul jo rawan hota hai
rang ye shaKH-e-gul-e-tar mein kahan hota hai
teri aawaz hai kanon ko sarir-e-dilkash
sau taranon se hai behtar ye nafir-e-dilkash
ek jahan par hai tasallut tera qabza tera
har zamane mein chala karta hai sikka tera
zauq hai jin ko samajhte hain wo tauqir teri
chuTkiyan dil mein liya karti hai tahrir teri
baDh ke eajaz se hai sehr-nigari teri
naqsh-e-dilkash mein tere shakl hai pyari teri
kabhi do lafzon mein roton ko hansa deta hai
hansne walon ko kabhi tu hi rula deta hai
hum ne bachte na suna ek bhi mara tera
jo hai talwar wo hai manti loha tera
teri raftar se dil waqf-e-alam hote hain
teri jumbish se sar aksar ke qalam hote hain
bhejta hai kabhi paigham-e-mohabbat tu hi
dil-e-maghmum ko hai bais-e-hujjat tu hi
dushman-e-jaan-e-hazin isa-e-dauran tu hai
samm-e-qatil hai kabhi chashma-e-haiwan tu hai
koi kis tarah kahe aaj se kal se tu hai
sab ko taslim ye hai roz-e-azal se tu hai
KHatm ta-hashr nahin hoga kabhi kaam tera
safha-e-dahr se miTne ka nahin nam tera
jitni duniya mein kitaben hain raqam kin tu ne
jalwa-afroz nazar pyare qalam kin tu ne
teri jumbish ka natija hain ye daftar lakhon
naqsh-e-KHush-rang ke mamnun hain patthar lakhon
tera likkha hua mera KHat-e-taqdir bhi hai
kya kahun lauh-e-jabin par teri tahrir bhi hai
do-jahan mein hai laqab KHama-e-qudrat tera
allah allah ye hai paya-e-rifat tera
teri mamnun meri sainkaDon tahriren hain
teri khinchi hui KHush-rang wo taswiren hain
ai qalam rishta-e-ulfat tera TuTe na kabhi
hath se 'basit'-e-ranjur ke chhuTe na kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.