qalam
qalam to qalam hai
ye sach kā qalam hai
jo sach hai vo kahtā
yahī kaam is kā
ye sab ko dikhātā
bhalā.ī kā rasta
ye tārīḳh likkhe
jo guzrī hai pīchhe
aur hālāt ab ke
batātā hai sachche
qalam par kisī kā
nahīñ zor chaltā
kisī kā na Dar hai
na ḳhauf-o-ḳhatar hai
qalam meñ hai tāqat
ye khole haqīqat
sañvar pyāre bachcho
irāda ye kar lo
karo ilm hāsil
bano nek aaqil
aur apne qalam se
karo kaam achchhe
qalam to qalam hai
ye sach ka qalam hai
jo sach hai wo kahta
yahi kaam is ka
ye sab ko dikhata
bhalai ka rasta
ye tariKH likkhe
jo guzri hai pichhe
aur haalat ab ke
batata hai sachche
qalam par kisi ka
nahin zor chalta
kisi ka na Dar hai
na KHauf-o-KHatar hai
qalam mein hai taqat
ye khole haqiqat
sanwar pyare bachcho
irada ye kar lo
karo ilm hasil
bano nek aaqil
aur apne qalam se
karo kaam achchhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.