qarib-o-dur
1
mujh se anjān bane duur bahut duur sahī
sāmne baiThā nazar aatā hai
mujh ko mahsūs ye hotā hai mirī umr ke saare lamhe
titliyāñ ban ke tirī samt uḌe jaate haiñ
aur tire chaar taraf
rañg-dar-rañg ka.ī haale banāte hue lahrāte haiñ
phuul chun chun ke palaT aate haiñ
mujhe mahkāte haiñ
2
mujh se anjān bane
paas bahut paas se to jab guzre
mujh ko mahsūs ye hotā hai mirī umr ke saare lamhe
ruuTh kar mujh se bahut duur kisī sahrā meñ
dhuup meñ jalte haiñ
tapte hue zarroñ se lipaT jaate haiñ
aur chiñgāriyāñ ban ban ke palaT aate haiñ
mujhe jhulsāte haiñ
1
mujh se anjaan bane dur bahut dur sahi
samne baiTha nazar aata hai
mujh ko mahsus ye hota hai meri umr ke sare lamhe
titliyan ban ke teri samt uDe jate hain
aur tere chaar taraf
rang-dar-rang kai haale banate hue lahraate hain
phul chun chun ke palaT aate hain
mujhe mahkate hain
2
mujh se anjaan bane
pas bahut pas se to jab guzre
mujh ko mahsus ye hota hai meri umr ke sare lamhe
ruTh kar mujh se bahut dur kisi sahra mein
dhup mein jalte hain
tapte hue zarron se lipaT jate hain
aur chingariyan ban ban ke palaT aate hain
mujhe jhulsate hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 487)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.