qariya-e-jaan
duur tak
har taraf
rāste rāste
rāste
sab ke sab
kitne sunsān haiñ
kitne vīrān haiñ
chāñd sūraj ghaTā
phuul bād-e-sabā
koī bhaTkī sadā
naġhmagī aur navā
yā koī naqsh-e-pā
duur tak kuchh nahīñ
duur tak
duur tak
tā-ba-hadd-e-nazar
koī saaya nahīñ
aisā lagtā hai
sadiyoñ se is shahr meñ
ik musāfir bhī
bhūle se aaya nahīñ
dur tak
har taraf
raste raste
raste
sab ke sab
kitne sunsan hain
kitne viran hain
chand suraj ghaTa
phul baad-e-saba
koi bhaTki sada
naghmagi aur nawa
ya koi naqsh-e-pa
dur tak kuchh nahin
dur tak
dur tak
ta-ba-hadd-e-nazar
koi saya nahin
aisa lagta hai
sadiyon se is shahr mein
ek musafir bhi
bhule se aaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.