qartaba ka muhasara
hāmila badliyoñ ne
apne kaTe-phaTe kināroñ meñ
chāñdī kī jhālareñ laTkā rakhī thiiñ
aur apnī dulā.iyoñ ke baḳhiyoñ meñ
rañgoñ kī bichkāriyāñ chhupā rakkhī thiiñ
ufuq surḳh thā
jaise shahr ke shohde
Darpok dukān-dāroñ par
apnī dhaak jamāne
na.ī kaTā.iyāñ kamāne par muqarrar huuñ
sode kī botaloñ se
ek dūsre par hamla-āvar huuñ
aur fuTpāthoñ par
shīshoñ ke TukḌoñ se
ajnabī rāhgīroñ ke
nañge pairoñ se
sirf unnāb dastiyāb ho
zamīn gulnār bane
bas isī tarah kā rañg āsmān meñ
khilā huā milā
raat kī fasīl ke qarīb
shaam kā muhāsara kiye
paḌā huā thā maiñ
*
ai allāma aaj
tere kisān kī kāfir beTī
apne giit utaar ke
merī samt se
apnā biddat phere
isī nīm-barahna ḳhūnīñ-manzar meñ
ugī huī thī
vaadī ke diye meñ
sho.ale kī tarah
laraz rahī thī
is kī nañgī piiTh par
tanī huī spaini riiḌh kī haDDī ke
aas paas
muztarib chuTkiyoñ bhare
rasīle kūlhoñ ke
jalālī tanāv ne
do nanhe nanhe qaus banā diye the
jin meñ jaate din kī raushnī
paare kī tarah
phisal phisal kar jam.a ho rahī thī
aur un gūñge halqoñ ke
tañg-dān meñ
jaan paḌ ga.ī thī
aaj unhī kosoñ meñ
apnī āñkheñ chhoḌ chalā
aur apne ġham bhuul gayā
mere log na.ī tahzīb
musaḳhḳhar karne aa.e the
vo tārīḳh hamesha yaad rahī
us kā sog abhī tak hai
hamila badliyon ne
apne kaTe-phaTe kinaron mein
chandi ki jhaalaren laTka rakhi thin
aur apni dulaiyon ke baKHiyon mein
rangon ki bichkariyan chhupa rakkhi thin
ufuq surKH tha
jaise shahr ke shohde
Darpok dukan-daron par
apni dhak jamane
nai kaTaiyan kamane par muqarrar hun
sode ki botalon se
ek dusre par hamla-awar hun
aur fuTpathon par
shishon ke TukDon se
ajnabi rahgiron ke
nange pairon se
sirf unnab dastiyab ho
zamin gulnar bane
bas isi tarah ka rang aasman mein
khila hua mila
raat ki fasil ke qarib
sham ka muhasara kiye
paDa hua tha main
*
ai allama aaj
tere kisan ki kafir beTi
apne git utar ke
meri samt se
apna biddat phere
isi nim-barahna KHunin-manzar mein
ugi hui thi
wadi ke diye mein
shoale ki tarah
laraz rahi thi
is ki nangi piTh par
tani hui spaini riDh ki haDDi ke
aas pas
muztarib chuTkiyon bhare
rasile kulhon ke
jalali tanaw ne
do nanhe nanhe qaus bana diye the
jin mein jate din ki raushni
pare ki tarah
phisal phisal kar jama ho rahi thi
aur un gunge halqon ke
tang-dan mein
jaan paD gai thi
aaj unhi koson mein
apni aankhen chhoD chala
aur apne gham bhul gaya
mere log nai tahzib
musaKHKHar karne aae the
wo tariKH hamesha yaad rahi
us ka sog abhi tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.