qarya-e-viran
jhulse peḌ jalī ābādī khetī sūkhī ḳhirman raakh
hast-o-būd kā madfan raakh
girte bām-o-dar ke liye galiyoñ kā āġhosh
jaise ye dīvāroñ ko the kab se vabāl-e-dosh
baar haTā to aayā hosh
panghaT aur chaupāl bhī suune rāheñ bhī sunsān
galiyāñ aur kūche vīrān
jhoñke sūkhe patte roleñ bikhrī raakh uḌā.īñ
raakh aur patte ban ke bagūle apnā naach dikhā.eñ
aur vahīñ rah jaa.eñ
ye bastī ab toḌ chukī hai hastī kī zanjīr-e-girāñ
aur quyūd-e-zamān-o-makāñ
vaqt ke Daaku chakkar us ko bisāt mutābiq luuT chuke
us ke liye māhaul-o-fizā ke saare bandhan TuuT chuke
māzī-o-hāl bhī chhūT chuke
kaun aa.e jo aa kar is meñ ziist ke rañg bhare
khetoñ ko sarsabz kare
galī galī aur kūcha kūcha panghaT aur chaupāl
khelte bachchoñ hañstī javānī se kar de choñchāl
zinda kar de māzī-o-hāl
jhulse peD jali aabaadi kheti sukhi KHirman rakh
hast-o-bud ka madfan rakh
girte baam-o-dar ke liye galiyon ka aaghosh
jaise ye diwaron ko the kab se wabaal-e-dosh
bar haTa to aaya hosh
panghaT aur chaupal bhi sune rahen bhi sunsan
galiyan aur kuche viran
jhonke sukhe patte rolen bikhri rakh uDain
rakh aur patte ban ke bagule apna nach dikhaen
aur wahin rah jaen
ye basti ab toD chuki hai hasti ki zanjir-e-giran
aur quyud-e-zaman-o-makan
waqt ke Daku chakkar us ko bisat mutabiq luT chuke
us ke liye mahaul-o-fiza ke sare bandhan TuT chuke
mazi-o-haal bhi chhuT chuke
kaun aae jo aa kar is mein zist ke rang bhare
kheton ko sarsabz kare
gali gali aur kucha kucha panghaT aur chaupal
khelte bachchon hansti jawani se kar de chonchaal
zinda kar de mazi-o-haal
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 92)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.