qarz
ik adn jal rahā thā nigahbāñ ḳhudā
us ghaḌī sātveñ āsmāñ par na thā
aur azal se abad tak ahāta kiye
ek af.ī kī manhūs āvāz thī
aur ḳhudā mere shām-o-sahar meñ na thā
mere ghar meñ na thā
aur ḳhudā
jo dabe paañv khiḌkī se pīchhe haTā
jo mire saath suunī saḌak par rukā
yak-ba-yak munfa.il hichkiyoñ meñ bikharne lagā
ik jalāl-e-ravāñ mere hamrāh galiyoñ meñ chalne lagā
aur ḳhajālat kī ye raat
ik sard patthar pe takiya kiye
merī bāñhoñ meñ bāñheñ diye
mere ma.abūd ne
qaharmāñ karb meñ kaaT dī
aur adn jal bujhā
zul-jalāl āñsuoñ ke tufail aaj bhī
har nafas ik sulagtā huā farz hai
ik nayā ghar muqaddas gharoñ kī qasam
mere ma.abūd par aaj bhī qarz hai
ek adn jal raha tha nigahban KHuda
us ghaDi satwen aasman par na tha
aur azal se abad tak ahata kiye
ek afi ki manhus aawaz thi
aur KHuda mere sham-o-sahar mein na tha
mere ghar mein na tha
aur KHuda
jo dabe panw khiDki se pichhe haTa
jo mere sath suni saDak par ruka
yak-ba-yak munfail hichkiyon mein bikharne laga
ek jalal-e-rawan mere hamrah galiyon mein chalne laga
aur KHajalat ki ye raat
ek sard patthar pe takiya kiye
meri banhon mein banhen diye
mere mabud ne
qaharman karb mein kaT di
aur adn jal bujha
zul-jalal aansuon ke tufail aaj bhi
har nafas ek sulagta hua farz hai
ek naya ghar muqaddas gharon ki qasam
mere mabud par aaj bhi qarz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.