qarz
merā baap nangā thā
maiñ ne apne kapḌe utaar kar use de diye
zamīn bhī nangī thī
maiñ ne use
apne makān se daaġh diyā
sharm bhī nangī thī maiñ ne use āñkheñ diiñ
pyaas ko lams diye
aur hoñToñ kī kyārī meñ
jaane vaale ko bo diyā
mausam chāñd liye phir rahā thā
maiñ ne mausam ko daaġh de kar chāñd ko āzād kiyā
chitā ke dhueñ se maiñ ne insān banāyā
aur us ke sāmne apnā man rakhā
us kā lafz jo us ne apnī paidā.ish pe chunā
aur bolā
maiñ terī kokh meñ ek hairat dekhtā huuñ
mere badan se aag duur huī
to maiñ ne apne gunāh taap liye
maiñ maañ banñe ke baa'd bhī kuñvārī huī
aur merī maañ bhī kuñvārī huī
ab tum kuñvārī maañ kī hairat ho
maiñ chitā pe saare mausam jalā Dālūñgī
maiñ ne tujh meñ ruuh phūñkī
maiñ tere mausamoñ meñ chuTkiyāñ bajāne vaalī huuñ
miTTī kyā sochegī
miTTī chhāñv sochegī aur ham miTTī ko socheñge
terā inkār mujhe zindagī detā hai
ham peḌoñ ke azaab saheñ
yā dukhoñ ke phaTe kapḌe pahneñ
mera bap nanga tha
main ne apne kapDe utar kar use de diye
zamin bhi nangi thi
main ne use
apne makan se dagh diya
sharm bhi nangi thi main ne use aankhen din
pyas ko lams diye
aur honTon ki kyari mein
jaane wale ko bo diya
mausam chand liye phir raha tha
main ne mausam ko dagh de kar chand ko aazad kiya
chita ke dhuen se main ne insan banaya
aur us ke samne apna man rakha
us ka lafz jo us ne apni paidaish pe chuna
aur bola
main teri kokh mein ek hairat dekhta hun
mere badan se aag dur hui
to main ne apne gunah tap liye
main man banne ke ba'd bhi kunwari hui
aur meri man bhi kunwari hui
ab tum kunwari man ki hairat ho
main chita pe sare mausam jala Dalungi
main ne tujh mein ruh phunki
main tere mausamon mein chuTkiyan bajaane wali hun
miTTi kya sochegi
miTTi chhanw sochegi aur hum miTTi ko sochenge
tera inkar mujhe zindagi deta hai
hum peDon ke azab sahen
ya dukhon ke phaTe kapDe pahnen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.