qasam
zulf mahkī huī jagmagātī jabīñ
chehra damkā huā aañkh hai surmagīñ
haath mehñdī rachī hoñT bhī ahmarīñ
husn aur husn kī is adā kī qasam
aaj aa.egī shāyad qayāmat kahīñ
aaj har phuul jaise kiran phuul hai
aaj sarkār kā har suḳhan phuul hai
aarzū ek ḳhushbū badan phuul hai
saath detī huī is fazā kī qasam
aaj dam legī jalvoñ kī shiddat kahīñ
husn-e-ḳhud-bīñ sahī husn-e-tanhā nahīñ
sham.a jaisī bhī ho bin patangā nahīñ
in dinoñ ahl-e-dil kā bharosā nahīñ
dekhnā is machaltī hayā kī qasam
aa na jaa.e kisī kī tabī.at kahīñ
aaj jo bhī adā hai vo manzūm hai
phir bhī ye husn-e-bā-zauq ma.asūm hai
aaj kaisā zamāna hai ma.alūm hai
vaqt kī bahkī bahkī havā kī qasam
luT na jaa.e gul-e-nau kī azmat kahīñ
zulf mahki hui jagmagati jabin
chehra damka hua aankh hai surmagin
hath mehndi rachi honT bhi ahmarin
husn aur husn ki is ada ki qasam
aaj aaegi shayad qayamat kahin
aaj har phul jaise kiran phul hai
aaj sarkar ka har suKHan phul hai
aarzu ek KHushbu badan phul hai
sath deti hui is faza ki qasam
aaj dam legi jalwon ki shiddat kahin
husn-e-KHud-bin sahi husn-e-tanha nahin
shama jaisi bhi ho bin patanga nahin
in dinon ahl-e-dil ka bharosa nahin
dekhna is machalti haya ki qasam
aa na jae kisi ki tabiat kahin
aaj jo bhi ada hai wo manzum hai
phir bhi ye husn-e-ba-zauq masum hai
aaj kaisa zamana hai malum hai
waqt ki bahki bahki hawa ki qasam
luT na jae gul-e-nau ki azmat kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.