qatl-e-aftab
shafaq ke rañg meñ hai qatl-e-āftāb kā rañg
ufuq ke dil meñ hai ḳhanjar lahū-luhān hai shaam
safed shīsha-e-nūr aur siyāh bārish-e-sañg
zamīñ se tā-ba-falak hai buland raat kā naam
yaqīñ kā zikr hī kyā hai ki ab gumāñ bhī nahīñ
maqām-e-dard nahīñ manzil-e-fuġhāñ bhī nahīñ
vo be-hisī hai ki jo qābil-e-bayāñ bhī nahīñ
koī tarañg hī baaqī rahī na koī umañg
jabīn-e-shauq nahīñ sañg-e-āstāñ bhī nahīñ
raqīb jiit ga.e ḳhatm ho chukī hai jañg
diloñ meñ shola-e-ġham bujh gayā hai kyā kiije
koī hasīn nahīñ kis se ab vafā kiije
sivā.e is ke ki qātil hī ko duā diije
magar ye jañg nahīñ vo jo ḳhatm ho jaa.e
ik intihā hai faqat husn-e-ibtidā ke liye
bichhe haiñ ḳhaar ki guzreñge qāfile gul ke
ḳhamoshī mohr-ba-lab hai kisī sadā ke liye
udāsiyāñ haiñ ye sab naġhma-o-navā ke liye
vo pahnā sham.a ne phir ḳhūn-e-āftāb kā taaj
sitāre le ke uThe nūr-e-āftāb ke jaam
palak palak pe firozāñ haiñ āñsuoñ ke charāġh
laveñ lachaktī haiñ yā bijliyāñ chamaktī haiñ
tamām pairahan-e-shab meñ bhar ga.e haiñ sharār
hazār lab se zamīñ kah rahī hai qissa-e-dard
hazār gosh-e-junūñ sun rahe haiñ afsāna
chaTak rahī haiñ kahīñ tīrgī kī dīvāreñ
lachak rahī haiñ kahīñ shāḳh-e-gul kī talvāreñ
sanak rahī hai kahīñ dasht-e-sar-kashī meñ havā
chahak rahī hai kahīñ bulbul-e-bahār-navā
mahak rahā hai vafā ke chaman meñ dil kā gulāb
chhalak rahī hai lab o aariz o nazar kī sharāb
javān ḳhvāboñ ke jañgal se aa rahī hai nasīm
nafas meñ nik.hat-e-paiġhām-e-inqalāb liye
ḳhabar hai qāfila-e-rañg-o-nūr niklegā
sahar ke dosh pe ik taaza āftāb liye
shafaq ke rang mein hai qatl-e-aftab ka rang
ufuq ke dil mein hai KHanjar lahu-luhan hai sham
safed shisha-e-nur aur siyah barish-e-sang
zamin se ta-ba-falak hai buland raat ka nam
yaqin ka zikr hi kya hai ki ab guman bhi nahin
maqam-e-dard nahin manzil-e-fughan bhi nahin
wo be-hisi hai ki jo qabil-e-bayan bhi nahin
koi tarang hi baqi rahi na koi umang
jabin-e-shauq nahin sang-e-astan bhi nahin
raqib jit gae KHatm ho chuki hai jang
dilon mein shola-e-gham bujh gaya hai kya kije
koi hasin nahin kis se ab wafa kije
siwae is ke ki qatil hi ko dua dije
magar ye jang nahin wo jo KHatm ho jae
ek intiha hai faqat husn-e-ibtida ke liye
bichhe hain KHar ki guzrenge qafile gul ke
KHamoshi mohr-ba-lab hai kisi sada ke liye
udasiyan hain ye sab naghma-o-nawa ke liye
wo pahna shama ne phir KHun-e-aftab ka taj
sitare le ke uThe nur-e-aftab ke jam
palak palak pe firozan hain aansuon ke charagh
lawen lachakti hain ya bijliyan chamakti hain
tamam pairahan-e-shab mein bhar gae hain sharar
hazar lab se zamin kah rahi hai qissa-e-dard
hazar gosh-e-junun sun rahe hain afsana
chaTak rahi hain kahin tirgi ki diwaren
lachak rahi hain kahin shaKH-e-gul ki talwaren
sanak rahi hai kahin dasht-e-sar-kashi mein hawa
chahak rahi hai kahin bulbul-e-bahaar-nawa
mahak raha hai wafa ke chaman mein dil ka gulab
chhalak rahi hai lab o aariz o nazar ki sharab
jawan KHwabon ke jangal se aa rahi hai nasim
nafas mein nikhat-e-paigham-e-inqalab liye
KHabar hai qafila-e-rang-o-nur niklega
sahar ke dosh pe ek taza aaftab liye
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 187)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.