bol ki lab āzād haiñ tere
bol zabāñ ab tak terī hai
dekh ki tere arz-e-vatan meñ
qasba qasba qarya qarya
aaj ye kaisā hashr bapā hai
shahroñ shahroñ gaañv gaañv
moḌ moḌ par galī galī meñ
lāshoñ kā ambār sajā hai
qadam qadam par
dast-e-sitam meñ teġh-e-jafā hai
marka-hā-e-jurm-o-sazā hai
dekh ki tere sehn-e-chaman kā
pattā pattā buuTā buuTā
ḳhuun meñ apne lat-pat lat-pat
ḳhauf-e-ḳhizāñ se
shāḳh-e-nahālāñ
larzāñ larzāñ
sumbul-o-raihāñ
ġham se hirāsāñ
ġhuncha ġhuncha
hairāñ hairāñ
gosha gosha chappa chappa
qatl-e-bahārāñ qatl-e-bahārāñ
ruuh pareshāñ jism figārāñ jaan pashemāñ
ḳhvāb se har ta.abīr gurezāñ
ujḌā khanDar
suunā manzar
beva panchhī
zaḳhmī taa.ir
uryāñ ḳhanjar
ḳhūnīñ dhartī kaalā sūraj giilā ambar
jangal jangal ḳhauf aur dahshat
sahrā sahrā vahshat vahshat
tank kī aamad
top kī harakat
jang kī la.anat
qaht kā saaya
bhuuk kī āñdhī
aur bekārī
aur bad-chalanī
aur bīmārī
tan kī tijārat
man kī hazīmat
dhan kī hukūmat
bhūkī siitā nangī mariyam murda gautam
pāra-pāra shīsha-e-hurmat
reza reza qasr-e-tamaddun
dhajjī dhajjī amn kā parcham
bol ki lab āzād haiñ tere
bol ki lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
dekh ki tere arz-e-watan mein
qasba qasba qarya qarya
aaj ye kaisa hashr bapa hai
shahron shahron ganw ganw
moD moD par gali gali mein
lashon ka ambar saja hai
qadam qadam par
dast-e-sitam mein tegh-e-jafa hai
marka-ha-e-jurm-o-saza hai
dekh ki tere sehn-e-chaman ka
patta patta buTa buTa
KHun mein apne lat-pat lat-pat
KHauf-e-KHizan se
shaKH-e-nahaalan
larzan larzan
sumbul-o-raihan
gham se hirasan
ghuncha ghuncha
hairan hairan
gosha gosha chappa chappa
qatl-e-bahaaran qatl-e-bahaaran
ruh pareshan jism figaran jaan pasheman
KHwab se har tabir gurezan
ujDa khanDar
suna manzar
bewa panchhi
zaKHmi tair
uryan KHanjar
KHunin dharti kala suraj gila ambar
jangal jangal KHauf aur dahshat
sahra sahra wahshat wahshat
tank ki aamad
top ki harakat
jang ki lanat
qaht ka saya
bhuk ki aandhi
aur bekari
aur bad-chalani
aur bimari
tan ki tijarat
man ki hazimat
dhan ki hukumat
bhuki sita nangi mariyam murda gautam
para-para shisha-e-hurmat
reza reza qasr-e-tamaddun
dhajji dhajji amn ka parcham
bol ki lab aazad hain tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.