qatl-e-charaghan
Interesting Fact
PESHAWAR ke saanehe par ek nazm
aaj phir qatl-e-charāġhāñ kā ye manzar dekho
aaj phir ḳhaak sī uḌtī hai chaman-zāroñ meñ
phūTā phir ḳhuun kā sotā kahīñ kohsāroñ meñ
aaj phir maqtal-e-insāñ pe baḌī raunaq hai
aaj phir sūrat-e-shaitāñ pe baḌī raunaq hai
kuchh dhamākoñ ne jo tasvīr badal Daalī hai
ḳhaak bhī ḳhaak nahīñ hai yahāñ ab laale hai
ban ke kaun aayā hai ab nau-e-bashar kā dushman
jis ki nafrat kā nishāna bane haiñ ġhuncha dahan
godiyāñ ujḌī haiñ jin maaoñ kī pūchho un se
chauñk uThtī haiñ vo rah rah ke har ik dastak pe
kone kone se jo bachchoñ ki sadā aatī hai
pāgaloñ ki tarah maañ DhūñDtī rah jaatī hai
dars-o-tadrīs ke mīnār girāne vaalo
nanhe māsūmoñ pe hathiyār uThāne vaalo
de sakoge hameñ kyā chand savāloñ ke javāb
tum ne jo zulm kiye kyā hai badal us kā savāl
tum ne ik nāra-e-takbīr lagāyā jis dam
khauf-e-allāh zarā bhī na huā dil pe raqam
zehn meñ tere na aayā ki haiñ bande us ke
jis ke nazdīk ibādat hai mohabbat sab se
tū ne maaoñ ke jigar-goshoñ ko maarā jis dam
haath kāñpe na tire dil na hue kyuuñ pur-nam
apne maz.hab ki ibādat kā bharam hai tujh ko
darja pā.egā shahādat kā bharam hai tujh ko
ik daf.a paḌh le agar vāqi.a-e-karb-o-balā
jaan jā.egā ki dar-asl ye islām hai kyā
tū ne qur.āñ jo sahīh taur se samjhā hotā
aaj tujh meñ bhī mohabbat kā salīqa hotā
aaj phir qatl-e-charaghan ka ye manzar dekho
aaj phir KHak si uDti hai chaman-zaron mein
phuTa phir KHun ka sota kahin kohsaron mein
aaj phir maqtal-e-insan pe baDi raunaq hai
aaj phir surat-e-shaitan pe baDi raunaq hai
kuchh dhamakon ne jo taswir badal Dali hai
KHak bhi KHak nahin hai yahan ab lale hai
ban ke kaun aaya hai ab nau-e-bashar ka dushman
jis ki nafrat ka nishana bane hain ghuncha dahan
godiyan ujDi hain jin maon ki puchho un se
chaunk uThti hain wo rah rah ke har ek dastak pe
kone kone se jo bachchon ki sada aati hai
pagalon ki tarah man DhunDti rah jati hai
dars-o-tadris ke minar girane walo
nanhe masumon pe hathiyar uThane walo
de sakoge hamein kya chand sawalon ke jawab
tum ne jo zulm kiye kya hai badal us ka sawal
tum ne ek nara-e-takbir lagaya jis dam
khauf-e-allah zara bhi na hua dil pe raqam
zehn mein tere na aaya ki hain bande us ke
jis ke nazdik ibaadat hai mohabbat sab se
tu ne maon ke jigar-goshon ko mara jis dam
hath kanpe na tere dil na hue kyun pur-nam
apne mazhab ki ibaadat ka bharam hai tujh ko
darja paega shahadat ka bharam hai tujh ko
ek dafa paDh le agar waqia-e-karb-o-bala
jaan jaega ki dar-asl ye islam hai kya
tu ne quran jo sahih taur se samjha hota
aaj tujh mein bhi mohabbat ka saliqa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.