qatl
maiñ to har roz qatl hotā huuñ
zindagī qatl-gāh hai
jis meñ
vaqt jallād ban ke rahtā hai
roz baḌhtā hai ek ḳhūnī haath
merī gardan daboch letā hai
aur jab qatl hone lagtā huuñ
vo masarrat se jhuum jaatā hai
vo jo apnā hai
aur jis ke liye
zindagī kī hai aarzū mujh ko
jaane kyā baat hai ki vo har roz
qatl par mere gungunātā hai
main to har roz qatl hota hun
zindagi qatl-gah hai
jis mein
waqt jallad ban ke rahta hai
roz baDhta hai ek KHuni hath
meri gardan daboch leta hai
aur jab qatl hone lagta hun
wo masarrat se jhum jata hai
wo jo apna hai
aur jis ke liye
zindagi ki hai aarzu mujh ko
jaane kya baat hai ki wo har roz
qatl par mere gungunata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.