qatra-e-shabnam
aah ai shabnam ke qatre terī hālat dekh kar
paanī ho ho kar bahe jaate haiñ mere dil jigar
umr kam ko saath ai nādān kyoñ laayā hai tū
ek shab ke vāste duniyā meñ kyā aaya hai tū
haa.e mil jā.eñge sab armān tere ḳhaak meñ
sub.h ab nazdīk hai sūraj hai terī taak meñ
be-sabātī aur phir aisī hazār afsos hai
zindagī-e-muḳhtasar par laakh baar afsos hai
dekh kar tujh ko nikal aa.e ye aañsū kis liye
chal gayā dil par hamāre terā jaadū kis liye
āb-dārī meñ hai baḌh-chaḌh kar dur-e-ġhaltāñ se tū
kyā mushābah hai kisī ke gauhar-e-dandāñ se tū
yā pasīna hai kisī māshūq ke ruḳhsār kā
yā koī qatra hai dūd-e-āh-e-ātish-bār kā
tujh meñ ye dil-bastagī aa.ī kahāñ se kyā hai tū
baaġh meñ jā kar jo dekho husn kā dariyā hai tū
god meñ lete haiñ tujh ko jaan tū phūloñ kī hai
tere dam se tere baa.is aabrū phūloñ kī hai
zard pattā ho gayā thā rū-e-pur-anvār-e-gul
sharm rakh lī tū ne ban kar ġhāza-e-ruḳhsār-e-gul
laila-e-shab baaġh meñ aatī hai din ko Taal kar
motiyoñ kā tere haar apne gale meñ Daal kar
phuul patte sabza-e-ḳhvābīda kī tū jaan hai
āb-dārī tujh pe sadqe tāzgī qurbān hai
paltī hai har ik kalī terī baġhal meñ raat bhar
rahtī bastī hai tire motī-mahal meñ raat bhar
al-ġharaz bālīdgī paudoñ kī terā kaam hai
chashma-e-āb-e-ḳhizar terī tarī kā naam hai
saarī raunaq gulshan-e-ālam kī tere dam se hai
tāzgī-e-sabza-o-gul qatra-e-shabnam se hai
aah ai shabnam ke qatre teri haalat dekh kar
pani ho ho kar bahe jate hain mere dil jigar
umr kam ko sath ai nadan kyon laya hai tu
ek shab ke waste duniya mein kya aaya hai tu
hae mil jaenge sab arman tere KHak mein
subh ab nazdik hai suraj hai teri tak mein
be-sabaati aur phir aisi hazar afsos hai
zindagi-e-muKHtasar par lakh bar afsos hai
dekh kar tujh ko nikal aae ye aansu kis liye
chal gaya dil par hamare tera jadu kis liye
aab-dari mein hai baDh-chaDh kar dur-e-ghaltan se tu
kya mushabah hai kisi ke gauhar-e-dandan se tu
ya pasina hai kisi mashuq ke ruKHsar ka
ya koi qatra hai dud-e-ah-e-atish-bar ka
tujh mein ye dil-bastagi aai kahan se kya hai tu
bagh mein ja kar jo dekho husn ka dariya hai tu
god mein lete hain tujh ko jaan tu phulon ki hai
tere dam se tere bais aabru phulon ki hai
zard patta ho gaya tha ru-e-pur-anwar-e-gul
sharm rakh li tu ne ban kar ghaza-e-ruKHsar-e-gul
laila-e-shab bagh mein aati hai din ko Tal kar
motiyon ka tere haar apne gale mein Dal kar
phul patte sabza-e-KHwabida ki tu jaan hai
aab-dari tujh pe sadqe tazgi qurban hai
palti hai har ek kali teri baghal mein raat bhar
rahti basti hai tere moti-mahal mein raat bhar
al-gharaz baalidgi paudon ki tera kaam hai
chashma-e-ab-e-KHizar teri tari ka nam hai
sari raunaq gulshan-e-alam ki tere dam se hai
tazgi-e-sabza-o-gul qatra-e-shabnam se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.