qatra jhil samundar
zamīñ pe baiTh kar koī
agar kahe
ki chāñd ek abrū-e-ḳhamīda kī misāl hai
to tū kahegā
dūri-e-nigāh meñ to ik savāl hai
ba-īñ dalīl
tujh se kah rahā thā maiñ
ki charḳh-e-nīl se
nigāh ko haTā zarā
simaTtī phailtī fazā-e-nīlgūñ ke dā.ere meñ
chand roz ke liye phisalnā chhoḌ kar
mire qarīb
is qadar qarīb aa
ki tere mere darmiyāñ
har ek fāsla miTe
to phir kahīñ tujhe patā chalegā ye
ki merī aañkh meñ
chamaktā qatra bhī nahīñ
chamaktī jhiil bhī nahīñ
ye bahr hai
ye bahr jis kī har machaltī lahr is sukūn kā payām hai
magar maiñ bhī Dartā huuñ
maiñ jāntā huuñ bahr-e-be-kanār meñ
ka.ī jagah bhañvar bhī haiñ
har ek lahr
ghūmte bhañvar ko dekhne ke vāste
uchhal uchhal ke mauj tund-o-tez bantī jā.egī
har ek mauj
ghūmte bhañvar ko bas meñ laane ke liye
baḌhegī
miTtī jā.egī
bhañvar ke dā.ere ko aur bhī baḌhā.egī
bhañvar jo aaj ghūmtā hai sail-e-rang-e-āb par
magar abhī sukūn hai
magar maiñ phir bhī Dartā huuñ
ki ye sukūñ talātum-e-nahufta kī dalīl hai
talātum-e-nahufta ke ḳhayāl se
farār chāhtā huuñ maiñ
lo aaj maiñ ne ek Dhang soch hī liyā
magar ye kaisī andhī soch hai
maiñ apnā haath aañkh par rakhe hue sitāda huuñ
har ek samt
soch kī hadoñ se duur
tīrgī meñ gahrā ik suhānā raaz hai
har ek ang
mast mast narm narm rāgnī kā saaz hai
magar maiñ phir bhī Dartā huuñ
ki ye sukūn sā.at-e-fatīla-e-hayāt hai
hayāt maiñ ġhalat samajh rahā thā itnī der se
hayāt is jagah kahāñ hayāt to
ufuq kī surḳhiyoñ se duur
ajnabī dayār meñ
vufūr-e-shauq ke tufail
farq-e-īñ-o-āñ ko chhoḌ kar
ek rang kā labāda oḌh kar
khaḌī hai mere intizār meñ
to kyoñ na maiñ vahāñ chalūñ
magar jab aage baḌhne
rasta dekhne ke vāste
maiñ apnā haath aañkh se haTātā huuñ
to apne aage ek bahr-e-be-karāñ ko paatā huuñ
magar ye kyā
ki tū to ab bhī kah rahā hai
terī aañkh meñ chamakte qatre kī misāl huuñ
tujhe ḳhabar nahīñ
ki ye sabhī ek dūri-e-nigāh kā savāl hai
zarā mire qarīb aa ke dekh merī aañkh meñ
chamaktā qatra bhī nahīñ
chamaktī jhiil bhī nahīñ
ye bahr hai
zamin pe baiTh kar koi
agar kahe
ki chand ek abru-e-KHamida ki misal hai
to tu kahega
duri-e-nigah mein to ek sawal hai
ba-in dalil
tujh se kah raha tha main
ki charKH-e-nil se
nigah ko haTa zara
simaTti phailti faza-e-nilgun ke daere mein
chand roz ke liye phisalna chhoD kar
mere qarib
is qadar qarib aa
ki tere mere darmiyan
har ek fasla miTe
to phir kahin tujhe pata chalega ye
ki meri aankh mein
chamakta qatra bhi nahin
chamakti jhil bhi nahin
ye bahr hai
ye bahr jis ki har machalti lahr is sukun ka payam hai
magar main bhi Darta hun
main jaanta hun bahr-e-be-kanar mein
kai jagah bhanwar bhi hain
har ek lahr
ghumte bhanwar ko dekhne ke waste
uchhal uchhal ke mauj tund-o-tez banti jaegi
har ek mauj
ghumte bhanwar ko bas mein lane ke liye
baDhegi
miTti jaegi
bhanwar ke daere ko aur bhi baDhaegi
bhanwar jo aaj ghumta hai sail-e-rang-e-ab par
magar abhi sukun hai
magar main phir bhi Darta hun
ki ye sukun talatum-e-nahufta ki dalil hai
talatum-e-nahufta ke KHayal se
farar chahta hun main
lo aaj main ne ek Dhang soch hi liya
magar ye kaisi andhi soch hai
main apna hath aankh par rakhe hue sitada hun
har ek samt
soch ki hadon se dur
tirgi mein gahra ek suhana raaz hai
har ek ang
mast mast narm narm ragni ka saz hai
magar main phir bhi Darta hun
ki ye sukun saat-e-fatila-e-hayat hai
hayat main ghalat samajh raha tha itni der se
hayat is jagah kahan hayat to
ufuq ki surKHiyon se dur
ajnabi dayar mein
wufur-e-shauq ke tufail
farq-e-in-o-an ko chhoD kar
ek rang ka labaada oDh kar
khaDi hai mere intizar mein
to kyon na main wahan chalun
magar jab aage baDhne
rasta dekhne ke waste
main apna hath aankh se haTata hun
to apne aage ek bahr-e-be-karan ko pata hun
magar ye kya
ki tu to ab bhi kah raha hai
teri aankh mein chamakte qatre ki misal hun
tujhe KHabar nahin
ki ye sabhi ek duri-e-nigah ka sawal hai
zara mere qarib aa ke dekh meri aankh mein
chamakta qatra bhi nahin
chamakti jhil bhi nahin
ye bahr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.