qatra qatra ehsas
phail kar phir shab-e-tārīk huī bahr-e-siyāh
qatra qatra lab-e-tanhā.ī se Tapke ehsās
aur palkoñ kī salīboñ pe vo guzre hue din
jaise khañDaroñ kī fasīloñ pe Tañgā ho itihās
dafn hai raakh ke ambār tale azm kī laash
justujū us kī kare aaj kise fursat hai
raushnī maañg na sūraj se na sitāroñ se
tiira o taar makānoñ meñ baḌī rāhat hai
ab to alfāz ke chehroñ kī ḳharāsheñ paḌh kar
vaqt ko Taal diyā jaa.e gadāgar kī tarah
varna vo lams jo shabnam se subuk-tar thā kabhī
aaj phir siine pe gir jā.egā patthar kī tarah
phail kar phir shab-e-tarik hui bahr-e-siyah
qatra qatra lab-e-tanhai se Tapke ehsas
aur palkon ki salibon pe wo guzre hue din
jaise khanDaron ki fasilon pe Tanga ho itihas
dafn hai rakh ke ambar tale azm ki lash
justuju us ki kare aaj kise fursat hai
raushni mang na suraj se na sitaron se
tera o tar makanon mein baDi rahat hai
ab to alfaz ke chehron ki KHarashen paDh kar
waqt ko Tal diya jae gadagar ki tarah
warna wo lams jo shabnam se subuk-tar tha kabhi
aaj phir sine pe gir jaega patthar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.