qatra-qatra
qatra-qatra dil meñ aañsū girte haiñ
ik aañsū us shaḳhs kā jo begāna hai
ik aañsū us naam kā jo ham le na sake
ik aañsū us duā kā jo puurī na huī
ek fuzūl sī baat ki jo be-sūd kahī
aañsū merā ḳhvāb maiñ jis se ghabrā.ūñ
aañsū merī murād jise maiñ bhulā.ūñ
ik aañsū us chehre kā jo yaad rahe
āñkhoñ ke raste jo dil meñ utar jaa.e
ik aañsū us Thahre-Thahre lahje kā
ik aañsū us vahm kā zehn meñ jo aayā
ik aañsū us jhuuT kā jo auroñ se kahā
phīkī hañsī se kaise qissa ḳhatm kiyā
lamha-lamha raat guzartī jaatī hai
qatra-qatra dil meñ aañsū girte haiñ
qatra-qatra dil mein aansu girte hain
ek aansu us shaKHs ka jo begana hai
ek aansu us nam ka jo hum le na sake
ek aansu us dua ka jo puri na hui
ek fuzul si baat ki jo be-sud kahi
aansu mera KHwab main jis se ghabraun
aansu meri murad jise main bhulaun
ek aansu us chehre ka jo yaad rahe
aankhon ke raste jo dil mein utar jae
ek aansu us Thahre-Thahre lahje ka
ek aansu us wahm ka zehn mein jo aaya
ek aansu us jhuT ka jo auron se kaha
phiki hansi se kaise qissa KHatm kiya
lamha-lamha raat guzarti jati hai
qatra-qatra dil mein aansu girte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.