qaum ke qalam-karo
qaum ke qalam-kāro
ai vatan ke fankāro
naujavān tabqe ko
rāsta dikhāo tum
ye supūt bhārat ke
gumrahī ke maare haiñ
ye ḳhud apne hī ghar ko
aag kyoñ dikhāte haiñ
aur be-sabab aksar
shor kyoñ machāte haiñ
in se kitnī vābasta
qaum kī umīdeñ haiñ
aaj laakh bhaTke hoñ
kal ke rāhbar haiñ ye
in ko ye batāo tum
ham ne apnī dhartī ko
āsmāñ banāyā hai
desh ko jagānā hai
is kī rahguzāroñ ko
kahkashāñ banānā hai
is ke ḳhārzāroñ ko
gulsitāñ banānā hai
desh ke qalam-kāro
ai vatan ke fankāro
qaum ke amīroñ ko
ḳhvāb se jagāo tum
aur un ko samjhāo
un kī jitnī daulat hai
vo nahīñ faqat un kī
vo vatan kī daulat hai
desh kī amānat hai
fāltū hai dhan jitnā
baañT deñ ġharīboñ meñ
qaum ke ḳhazāne par
saañp ban ke mat baiTheñ
varna inqalāb-e-nau
haath jab baḌhā.egā
chhīn legā saarā dhan
le uḌegā daulat ko
desh ke qalam-kāro
qaum ke ġharīboñ ko
ye payām do jā kar
ab to un kī duniyā bhī
jagmagāne vaalī hai
raat ke dayāroñ meñ
sub.h aane vaalī hai
muflisī na hogī ab
bhuk-marī na hogī ab
un kī kisht-e-vīrāñ ab
za.afarāñ ugā.egī
un ke gulsitānoñ meñ
phuul muskurā.eñge
un ke sehn-e-gulshan meñ
ab ḳhizāñ na aa.egī
qaum ke qalam-kāro
ai vatan ke fankāro
vaqt kā taqāza hai
qaum ko jagāo tum
rāsta dikhāo tum
qaum ke qalam-karo
ai watan ke fankaro
naujawan tabqe ko
rasta dikhao tum
ye suput bhaarat ke
gumrahi ke mare hain
ye KHud apne hi ghar ko
aag kyon dikhate hain
aur be-sabab aksar
shor kyon machate hain
in se kitni wabasta
qaum ki umiden hain
aaj lakh bhaTke hon
kal ke rahbar hain ye
in ko ye batao tum
hum ne apni dharti ko
aasman banaya hai
desh ko jagana hai
is ki rahguzaron ko
kahkashan banana hai
is ke KHarzaron ko
gulsitan banana hai
desh ke qalam-karo
ai watan ke fankaro
qaum ke amiron ko
KHwab se jagao tum
aur un ko samjhao
un ki jitni daulat hai
wo nahin faqat un ki
wo watan ki daulat hai
desh ki amanat hai
faltu hai dhan jitna
banT den gharibon mein
qaum ke KHazane par
sanp ban ke mat baiThen
warna inqalab-e-nau
hath jab baDhaega
chhin lega sara dhan
le uDega daulat ko
desh ke qalam-karo
qaum ke gharibon ko
ye payam do ja kar
ab to un ki duniya bhi
jagmagane wali hai
raat ke dayaron mein
subh aane wali hai
muflisi na hogi ab
bhuk-mari na hogi ab
un ki kisht-e-viran ab
zafaran ugaegi
un ke gulsitanon mein
phul muskuraenge
un ke sehn-e-gulshan mein
ab KHizan na aaegi
qaum ke qalam-karo
ai watan ke fankaro
waqt ka taqaza hai
qaum ko jagao tum
rasta dikhao tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.