qaumi tarana
ai mire hindostāñ jannat-nishāñ
bah rahī haiñ tere siine par vo shītal naddiyāñ
kheltā hai jin kī lahroñ par surūroñ kā jahāñ
jhūmtā hai jin surūroñ meñ shabāb-e-jāvedāñ
pāsbānī jin kī kartā hai himāla sā javāñ
ai mire hindostāñ jannat-nishāñ
tere bāġhoñ kī lahak se jhāñktī hai zindagī
zindagī vo maut ko bhī jis se ho sharmindagī
jis se hāsil ho harīm-e-rūh ko tābindagī
ḳhuld-zāroñ kā hai tere gulsitānoñ par gumāñ
ai mire hindostāñ jannat-nishāñ
tere parbat sīm-o-zar kā gungunātā ābshār
tere chashme barbat-e-nāhīd kā zarrīn taar
tere jañgal ḳhuld ke sapne kī sundar sī bahār
mast jhoñkoñ kī zabāñ par madh bharī mausiqiyāñ
ai mire hindostāñ jannat-nishāñ
terī mastāna havāoñ meñ javānī zau-fagan
zarre zarre se numāyāñ tuur kā sā bāñkpan
muskurātī hai fazāoñ meñ nashīlī sī phaban
terī vaadī meñ surūr-o-kaif kī nahreñ ravāñ
ai mire hindostāñ jannat-nishāñ
bām-e-āzādī ke ḳhush-anjām ziine ke liye
terī ulfat ke nashīle jaam piine ke liye
yaanī terī god meñ āzād jiine ke liye
bijliyāñ ban kar gireñge ġhair par ham nā-gahāñ
ai mire hindostāñ jannat-nishāñ
ai mere hindostan jannat-nishan
bah rahi hain tere sine par wo shital naddiyan
khelta hai jin ki lahron par sururon ka jahan
jhumta hai jin sururon mein shabab-e-jawedan
pasbani jin ki karta hai himala sa jawan
ai mere hindostan jannat-nishan
tere baghon ki lahak se jhankti hai zindagi
zindagi wo maut ko bhi jis se ho sharmindagi
jis se hasil ho harim-e-ruh ko tabindagi
KHuld-zaron ka hai tere gulsitanon par guman
ai mere hindostan jannat-nishan
tere parbat sim-o-zar ka gungunata aabshaar
tere chashme barbat-e-nahid ka zarrin tar
tere jangal KHuld ke sapne ki sundar si bahaar
mast jhonkon ki zaban par madh bhari mausiqiyan
ai mere hindostan jannat-nishan
teri mastana hawaon mein jawani zau-fagan
zarre zarre se numayan tur ka sa bankpan
muskuraati hai fazaon mein nashili si phaban
teri wadi mein surur-o-kaif ki nahren rawan
ai mere hindostan jannat-nishan
baam-e-azadi ke KHush-anjam zine ke liye
teri ulfat ke nashile jam pine ke liye
yani teri god mein aazad jine ke liye
bijliyan ban kar girenge ghair par hum na-gahan
ai mere hindostan jannat-nishan
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 84)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : Uttar Prdesh Urdu Academy,Lucknow (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.