qaumi yak-jihati
zindagī naam hai jiine kā jise jaanā hai
haañ magar jī ke bahak jaane pe jurmāna hai
vaqt kī tez havāoñ kā ye samjhānā hai
jis ne mausam ko na samjhā vahī dīvāna hai
phuul chunñā to salīqe se chaman meñ rahnā
ābrū-dār-e-vatan ban ke vatan meñ rahnā
ḳhuun ye apnā jahāñ tak hai vatan kī had hai
apnī sāñsoñ meñ jo ḳhushbū hai chaman kī had hai
apnī miTTī meñ azānoñ kī bhajan kī had hai
desh meñ sab ke liye gang-o-jaman kī had hai
apnī had meñ haiñ sabhī ek to nafrat kaisī
ek bhaa.ī ko hai bhaa.ī se adāvat kaisī
sirf alfāz meñ uljhe haiñ ye sarvan ye salīm
ek bhagvān ḳhudā ek to kaisī taqsīm
baat sachchī hai to sach kahte haiñ ye de do hakīm
hai jo puujā meñ shrī raam ibādat meñ rahīm
joḌ kar dekhiye ab farq kahāñ miltā hai
vahāñ jhagḌā na ho īmān jahāñ miltā hai
pāñch gāñdhī kī nigāhoñ meñ rahe qurbānī
kyoñ milāte ho shahīdoñ ke lahū meñ paanī
hai kahīñ aag kahīñ ḳhuun kahīñ vīrānī
apne gulshan meñ kisī kī na chale man-mānī
sab qasam khā.eñ ki dañgā nahīñ hone deñge
aur ab desh ko rusvā nahīñ hone deñge
jo buzurgoñ kā sabaq hai vo sunānā hogā
ektā hī meñ bhalā hai ye dikhānā hogā
haath ke saath hameñ dil bhī milānā hogā
ghar ko sarhad ko lahū de ke bachānā hogā
apne bhārat ke charāġhoñ kā ujālā ban kar
dushmanoñ ke liye DaT jaanā himāla ban kar
zindagi nam hai jine ka jise jaana hai
han magar ji ke bahak jaane pe jurmana hai
waqt ki tez hawaon ka ye samjhana hai
jis ne mausam ko na samjha wahi diwana hai
phul chunna to saliqe se chaman mein rahna
aabru-dar-e-watan ban ke watan mein rahna
KHun ye apna jahan tak hai watan ki had hai
apni sanson mein jo KHushbu hai chaman ki had hai
apni miTTi mein azanon ki bhajan ki had hai
desh mein sab ke liye gang-o-jaman ki had hai
apni had mein hain sabhi ek to nafrat kaisi
ek bhai ko hai bhai se adawat kaisi
sirf alfaz mein uljhe hain ye sarwan ye salim
ek bhagwan KHuda ek to kaisi taqsim
baat sachchi hai to sach kahte hain ye de do hakim
hai jo puja mein shri ram ibaadat mein rahim
joD kar dekhiye ab farq kahan milta hai
wahan jhagDa na ho iman jahan milta hai
panch gandhi ki nigahon mein rahe qurbani
kyon milate ho shahidon ke lahu mein pani
hai kahin aag kahin KHun kahin virani
apne gulshan mein kisi ki na chale man-mani
sab qasam khaen ki danga nahin hone denge
aur ab desh ko ruswa nahin hone denge
jo buzurgon ka sabaq hai wo sunana hoga
ekta hi mein bhala hai ye dikhana hoga
hath ke sath hamein dil bhi milana hoga
ghar ko sarhad ko lahu de ke bachana hoga
apne bhaarat ke charaghon ka ujala ban kar
dushmanon ke liye DaT jaana himala ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.