qayam-e-yak-shabana
vo chalī ga.ī
vo chaTāḳh chiḌiyā chalī ga.ī
mire āshiyāñ meñ guzashta shab vo rukī
magar dam-e-sub.h phir se vo uḌ ga.ī
use uḌte rahnā pasand thā so chalī ga.ī
baḌī shoḳh thī baḌī tez-rau
baḌā chahchahātī thī muskurātī thī
us ke pankhoñ meñ koī dām-e-visāl thā
mujhe us kā naam patā nahīñ
vo kahāñ se aa.ī nahīñ ḳhabar
vo yahīñ kahīñ pe chhupī huī to nahīñ yahīñ
kisī aur aañkh ko dām-e-husn meñ bāñdh kar
dil-e-mubtalā ko asīr-e-vasl kiye hue
vo nahīñ ga.ī vo yahīñ kahīñ to zarūr hai
wo chali gai
wo chaTaKH chiDiya chali gai
mere aashiyan mein guzashta shab wo ruki
magar dam-e-subh phir se wo uD gai
use uDte rahna pasand tha so chali gai
baDi shoKH thi baDi tez-rau
baDa chahchahati thi muskuraati thi
us ke pankhon mein koi dam-e-visal tha
mujhe us ka nam pata nahin
wo kahan se aai nahin KHabar
wo yahin kahin pe chhupi hui to nahin yahin
kisi aur aankh ko dam-e-husn mein bandh kar
dil-e-mubtala ko asir-e-wasl kiye hue
wo nahin gai wo yahin kahin to zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.