qayamat
sunte the
gunāhoñ kī intihā
zamīñ par had se
jab baḌh jā.egī
to qayāmat
barpā hogī
barsegī aag
aa.egā sailāb
qudrat kā qahr
nāzil hogā
allāh rahm kare
aaj is haul-nāk daur se
guzar rahe haiñ ham
jahāñ
zamīñ ke har ḳhitte meñ
TukḌoñ TukḌoñ meñ
zindagī ho rahī hai tabāh
kahīñ jañg kahīñ vahshat
kahīñ bhuuk kahīñ dahshat
gūñjte dhamāke
bahte dariyā lahū ke
maut ke qahqahe
yahāñ se vahāñ talak
zahrīlī fazāoñ meñ
bebasī hī bebasī
goyā sab kuchh
apne iḳhtiyār se be-qābū
ab aur kis shakl meñ aa.egī qayāmat
sunte the
gunahon ki intiha
zamin par had se
jab baDh jaegi
to qayamat
barpa hogi
barsegi aag
aaega sailab
qudrat ka qahr
nazil hoga
allah rahm kare
aaj is haul-nak daur se
guzar rahe hain hum
jahan
zamin ke har KHitte mein
TukDon TukDon mein
zindagi ho rahi hai tabah
kahin jang kahin wahshat
kahin bhuk kahin dahshat
gunjte dhamake
bahte dariya lahu ke
maut ke qahqahe
yahan se wahan talak
zahrili fazaon mein
bebasi hi bebasi
goya sab kuchh
apne iKHtiyar se be-qabu
ab aur kis shakl mein aaegi qayamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.