qila-e-akbarabad
vo bārgah-e-ḳhās kī pākīza imārat
tābāñ the jahāñ nayyar-e-shāhī-o-vazārat
baḌhtī thī jahāñ nazm-o-siysāsat kī mahārat
aatī thī jahāñ fat.h-e-mamālik kī bashārat
juuñ shahna-e-ma’zūl paḌī hai vo akārat
sayyāh kiyā karte haiñ ab us kī ziyārat
kahtā hai suḳhan-fahm se yuuñ katba daroñ kā
thā maḳhzan-e-asrār yahī tāj-varoñ kā
aurañg-e-siyah-rañg jo qaa.em hai lab-e-bām
bosa jise detā thā har ik zubda-e-uzzām
ash.ār meñ sabt us pe jahāñgīr kā hai naam
shā.ir kā qalam us kī baqā likhtā hai mādām
par saaf nazar aatā hai kuchh aur hī anjām
sālim nahīñ chhoḌegī ise gardish-e-ayyām
farsūdgī-e-dahr ne shaq ab to kyā hai
ā.inda kī nasloñ ko sabaq ḳhuub diyā hai
haañ kis liye ḳhāmosh hai o taḳht-e-jigar-resh
kis ġham meñ siyah-posh hai kyā sog hai dar-pesh
kamlī hai tire dosh pe kyuuñ sūrat-e-darvesh
jogī hai tirā panth ki suufī hai terā kesh
bolā ki zamāne ne diyā nosh kabhī nesh
sadiyāñ mujhe guzrī haiñ yahāñ tiin kam-o-besh
sadqe kabhī mujh par guhar-o-la.al hue the
shāhān-e-muazzam ke qadam maiñ ne chhue the
us ahd kā baaqī koī sāmāñ hai na asbāb
favvāre shikasta haiñ to sab hauz haiñ be-āb
vo jām-e-bilorīñ haiñ na vo gauhar-e-nāyāb
vo chilmaneñ zar-tār na vo bistar-e-kam-ḳhvāb
hangāma jo guzrā hai so afsāna thā yā ḳhvāb
ye māraz-e-ḳhuddām thā vo mauqif-e-hajjāb
vo bazm na vo daur na vo jaam na saaqī
haañ tāq-o-ravāq aur dar-o-bām haiñ baaqī
darshan ke jharoke kī paḌī thī yahīñ buniyād
hotī thī tulā-dān meñ kyā kyā dahish-o-dād
vo adl kī zanjīr huī thī yahīñ ījād
jo sam-e-shahanshāh meñ pahuñchātī thī fariyād
vo nūr-jahāñ aur jahāñgīr kī uftād
us kāḳh-e-humāyūñ ko ba-tafsīl hai sab yaad
har-chand ki be-kār ye ta.amīr paḌī hai
qadr us kī mo.arriḳh kī nigāhoñ meñ baḌī hai
vo daur hai baaqī na vo ayyām-o-ayālī
jo vāqi.a hissī thā so hai aaj ḳhayālī
har koshak-o-aivān har ik manzil-e-ālī
ibrat se hai pur aur makīnoñ se hai ḳhālī
ye jumla-mahallāt jo sunsān paḌe haiñ
patthar kā kaleja kiye hairān khaḌe haiñ
wo bargah-e-KHas ki pakiza imarat
taban the jahan nayyar-e-shahi-o-wazarat
baDhti thi jahan nazm-o-siysasat ki mahaarat
aati thi jahan fath-e-mamalik ki bashaarat
jun shahna-e-ma’zul paDi hai wo akarat
sayyah kiya karte hain ab us ki ziyarat
kahta hai suKHan-fahm se yun katba daron ka
tha maKHzan-e-asrar yahi taj-waron ka
aurang-e-siyah-rang jo qaem hai lab-e-baam
bosa jise deta tha har ek zubda-e-uzzam
ashaar mein sabt us pe jahangir ka hai nam
shair ka qalam us ki baqa likhta hai madam
par saf nazar aata hai kuchh aur hi anjam
salim nahin chhoDegi ise gardish-e-ayyam
farsudgi-e-dahr ne shaq ab to kya hai
aainda ki naslon ko sabaq KHub diya hai
han kis liye KHamosh hai o taKHt-e-jigar-resh
kis gham mein siyah-posh hai kya sog hai dar-pesh
kamli hai tere dosh pe kyun surat-e-darwesh
jogi hai tera panth ki sufi hai tera kesh
bola ki zamane ne diya nosh kabhi nesh
sadiyan mujhe guzri hain yahan tin kam-o-besh
sadqe kabhi mujh par guhar-o-lal hue the
shahan-e-muazzam ke qadam main ne chhue the
us ahd ka baqi koi saman hai na asbab
fawware shikasta hain to sab hauz hain be-ab
wo jam-e-bilorin hain na wo gauhar-e-nayab
wo chilmanen zar-tar na wo bistar-e-kam-KHwab
hangama jo guzra hai so afsana tha ya KHwab
ye maraz-e-KHuddam tha wo mauqif-e-hajjab
wo bazm na wo daur na wo jam na saqi
han taq-o-rawaq aur dar-o-baam hain baqi
darshan ke jharoke ki paDi thi yahin buniyaad
hoti thi tula-dan mein kya kya dahish-o-dad
wo adl ki zanjir hui thi yahin ijad
jo sam-e-shahanshah mein pahunchati thi fariyaad
wo nur-jahan aur jahangir ki uftad
us kaKH-e-humayun ko ba-tafsil hai sab yaad
har-chand ki be-kar ye tamir paDi hai
qadr us ki moarriKH ki nigahon mein baDi hai
wo daur hai baqi na wo ayyam-o-ayali
jo waqia hissi tha so hai aaj KHayali
har koshak-o-aiwan har ek manzil-e-ali
ibrat se hai pur aur makinon se hai KHali
ye jumla-mahallat jo sunsan paDe hain
patthar ka kaleja kiye hairan khaDe hain
- Tasvir-e-Manazil (Jild Avval)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.