qiran
us ne pūchhā
is duniyā meñ
kitne log haiñ
jin kā ek frame meñ aanā
yā pal bhar kā saath
qayāmat Dhā saktā hai
saañs samay kī jam saktī hai
sūraj raah se haT saktā hai
chāñd kī dhaḌkan tham saktī hai
niil gagan se kaT saktā hai
shā'ir ne chup-chāp sunā ye
chaa.e kā ik ghūñT bharā
phir
do pal sochā aur kahā ye
merī mā'lūmāt to kam haiñ
ab vo log kahāñ baaqī haiñ
bas do dil jo saath chaleñ to
ghor añdherā ghaT jaatā hai
nuur sabhī meñ baT jaatā hai
miT jaate haiñ jitne ġham haiñ
pahle tum ho duuje ham haiñ
us ne puchha
is duniya mein
kitne log hain
jin ka ek frame mein aana
ya pal bhar ka sath
qayamat Dha sakta hai
sans samay ki jam sakti hai
suraj rah se haT sakta hai
chand ki dhaDkan tham sakti hai
nil gagan se kaT sakta hai
sha'ir ne chup-chap suna ye
chae ka ek ghunT bhara
phir
do pal socha aur kaha ye
meri ma'lumat to kam hain
ab wo log kahan baqi hain
bas do dil jo sath chalen to
ghor andhera ghaT jata hai
nur sabhi mein baT jata hai
miT jate hain jitne gham hain
pahle tum ho duje hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.