qismat ka paDhne wala
Interesting Fact
(Ravi, Government College, Lahore, May 1973)
mere haath pe likkhā kyā hai
umr ke uupar barq kā gahrā saaya kyā hai
kaun ḳhafā hai
raah kā būḌhā peḌ jhukā hai chiḌiyāñ haiñ chup-chāp
aatī jaatī rut ke badle gard kī gahrī chhāp
gard ke pīchhe aane vaale daur kī dhīmī thaap
rasta kyā hai manzil kyā hai
mere saath safar par āte-jāte logo mahshar kyā hai
maazī haal kā badlā badlā manzar kyā hai
maiñ aur tū kyā chiiz haiñ tinke patte ek nishān
aks ke andar TukḌe TukḌe zāhir meñ insān
kab ke DhūñD rahe haiñ ham sab apnā naḳhlistān
naaqa kyā hai mahmil kyā hai
shahar se āte-jāte logo dekho raah se kaun gayā hai
jalte kāġhaz kī ḳhushbū meñ ġharq fazā hai
chāroñ samt se log baḌhe haiñ ūñche shahr ke paas
aaj añdherī raat meñ apnā kaun hai rāh-shanās
ḳhvāb kī har ta.abīr meñ gum hai achchhī shai kī aas
din kyā shai hai saaya kyā hai
ghaTte-baḌhte chāñd ke andar duniyā kyā hai
farsh pe gir kar dil kā shīsha TuuT gayā hai
mere hath pe likkha kya hai
umr ke upar barq ka gahra saya kya hai
kaun KHafa hai
rah ka buDha peD jhuka hai chiDiyan hain chup-chap
aati jati rut ke badle gard ki gahri chhap
gard ke pichhe aane wale daur ki dhimi thap
rasta kya hai manzil kya hai
mere sath safar par aate-jate logo mahshar kya hai
mazi haal ka badla badla manzar kya hai
main aur tu kya chiz hain tinke patte ek nishan
aks ke andar TukDe TukDe zahir mein insan
kab ke DhunD rahe hain hum sab apna naKHlistan
naqa kya hai mahmil kya hai
shahar se aate-jate logo dekho rah se kaun gaya hai
jalte kaghaz ki KHushbu mein gharq faza hai
chaaron samt se log baDhe hain unche shahr ke pas
aaj andheri raat mein apna kaun hai rah-shanas
KHwab ki har tabir mein gum hai achchhi shai ki aas
din kya shai hai saya kya hai
ghaTte-baDhte chand ke andar duniya kya hai
farsh pe gir kar dil ka shisha TuT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.