qissa-e-dard
chāñd ne muskurā kar kahā
dosto
qissa-e-dard chheḌe sar-e-rāh kaun
phir bhī taare musir the
ki ham aaj kī shab suneñge
vahī an-sunī dāstāñ
der tak chāñd sochā kiyā
duur āfāq kī samt dekhā kiyā
aur tāroñ kī āñkheñ chhalaktī rahīñ
raat ke dāman-e-tar ko
āhista āhista
lamhoñ kā ThanDā lahū
jazb ho ho ke rañgīn kartā rahā
nā-gahāñ ek nādīda zarrīñ raqam
dast-e-sīmīñ baḌhā aur ufuq-tā-ufuq
ek jumbish meñ khīñche hazāroñ karoḌoñ talā.ī ḳhutūt
Duub kar rah ga.e shab ke saare nuqūt
chashm-e-āfāq se
avvalīñ qatra-e-dard Tapkā
kisī barg-e-nau-ḳhez par
aks-e-anjām ruḳhsār-e-āġhāz par
chand ne muskura kar kaha
dosto
qissa-e-dard chheDe sar-e-rah kaun
phir bhi tare musir the
ki hum aaj ki shab sunenge
wahi an-suni dastan
der tak chand socha kiya
dur aafaq ki samt dekha kiya
aur taron ki aankhen chhalakti rahin
raat ke daman-e-tar ko
aahista aahista
lamhon ka ThanDa lahu
jazb ho ho ke rangin karta raha
na-gahan ek nadida zarrin raqam
dast-e-simin baDha aur ufuq-ta-ufuq
ek jumbish mein khinche hazaron karoDon talai KHutut
Dub kar rah gae shab ke sare nuqut
chashm-e-afaq se
awwalin qatra-e-dard Tapka
kisi barg-e-nau-KHez par
aks-e-anjam ruKHsar-e-aghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.