qissa-e-shab
surḳh āñkheñ ghumāte hue bheḌiye raat kā husn haiñ
sarsarāte hue shāḳhchoñ meñ chhupe māñda panchhī
musalle pe baiThe hue rīsh-dār ahl-e-bātin
piñghūḌe meñ kilkārte nuur chehre
ye bistar badaltī huī laḌkiyāñ
zahr ugalte hue saañp
dīvār par jast karte hue saa.e
laḌtī huī billiyāñ
raat kā husn haiñ
apne sar par ye sadiyoñ se phailā huā be-mah-o-najm gardūñ
sar-e-shām rañg apnā tabdīl kartā hai to raat kā ā.īna jāgtā hai
añdheroñ bhare ā.īne meñ sadā.eñ haiñ, sūrat nahīñ
sāme.a shakl tartīb detā hai
sunte hue jagmagāte haiñ āvāz ke ḳhāl-o-ḳhad
maiñ ne sargoshiyoñ qahqahoñ manziloñ āhaToñ
aur aahoñ meñ dekhā hai husn
ek pairā.e meñ sar uThātī haiñ ġhurrāhTeñ, vasl-āsār sāñseñ
ye palkeñ jo āhista āhista Dhalne lagī haiñ
shafaq jo añdhere meñ ghulne lagī hai
yahī raat kā husn hai
raat āñkhoñ meñ hai
surKH aankhen ghumate hue bheDiye raat ka husn hain
sarsaraate hue shaKHchon mein chhupe manda panchhi
musalle pe baiThe hue rish-dar ahl-e-baatin
pinghuDe mein kilkarte nur chehre
ye bistar badalti hui laDkiyan
zahr ugalte hue sanp
diwar par jast karte hue sae
laDti hui billiyan
raat ka husn hain
apne sar par ye sadiyon se phaila hua be-mah-o-najm gardun
sar-e-sham rang apna tabdil karta hai to raat ka aaina jagta hai
andheron bhare aaine mein sadaen hain, surat nahin
samea shakl tartib deta hai
sunte hue jagmagate hain aawaz ke KHal-o-KHad
main ne sargoshiyon qahqahon manzilon aahaTon
aur aahon mein dekha hai husn
ek pairae mein sar uThati hain ghurrahTen, wasl-asar sansen
ye palken jo aahista aahista Dhalne lagi hain
shafaq jo andhere mein ghulne lagi hai
yahi raat ka husn hai
raat aankhon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.