qissa-KHwani bazar ki ek sham
tasāhul kī chādar lapeTe hue qissa-ḳhvānī ik shaam thī
ham vahāñ apnī din bhar kī is jān-levā thakan se
nabard-āzmā
ḳhuub qahvoñ pe qahve ke piyāle luñDhāte rahe
aur apne buland-bāñg dāvoñ se aur qahqahoñ se
kahīñ ghoñsloñ meñ chhupe thak ke so.e hue
nīm-jāñ tā.eroñ ko jagāte rahe
aur guzre zamāne ke pīroñ faqīroñ kī koī na ka.ī karāmat sunāte rahe
(kis tarah sāhibān-e-karāmāt barzaḳh to barzaḳh
shar-añgez zindoñ kī rūheñ bulāne pe qādir
sabhī ko bad-āmāliyoñ se bachāte rahe)
par jo ye sab nahī mānte the
vo nisvār kī tez bū meñ base
iiñT gaare ke ik nīm-puḳhta thaḌe par
bar-afroḳhta ho ke inkār meñ sar hilāte rahe
haañ magar vo ki jin ke laboñ par
charas aur gāñje kī uudī sī tah
mustaqil jam ga.ī thī
faqat muskurāte rahe
aur sañgat meñ maujūd jo ''bachcha-ḳhush'' the
vo har aate jaate trahdār kam-umr laḌke ko
ā.ankhoñ hī ā.ankhoñ meñ paate rahe
phir sab aapas meñ mil kar
karachi se kundūz tak pesha kartī huī kasbiyoñ
hijḌoñ aur louñDoñ ke
pur-kaif qisse sunāte rahe
gudgudāte rahe
dil lubhāte rahe
tasahul ki chadar lapeTe hue qissa-KHwani ek sham thi
hum wahan apni din bhar ki is jaan-lewa thakan se
nabard-azma
KHub qahwon pe qahwe ke piyale lunDhate rahe
aur apne buland-bang dawon se aur qahqahon se
kahin ghonslon mein chhupe thak ke soe hue
nim-jaan taeron ko jagate rahe
aur guzre zamane ke piron faqiron ki koi na kai karamat sunate rahe
(kis tarah sahiban-e-karamat barzaKH to barzaKH
shar-angez zindon ki ruhen bulane pe qadir
sabhi ko bad-amaliyon se bachate rahe)
par jo ye sab nahi mante the
wo niswar ki tez bu mein base
inT gare ke ek nim-puKHta thaDe par
bar-afroKHta ho ke inkar mein sar hilate rahe
han magar wo ki jin ke labon par
charas aur ganje ki udi si tah
mustaqil jam gai thi
faqat muskuraate rahe
aur sangat mein maujud jo bachcha-KHush the
wo har aate jate trahdar kam-umr laDke ko
aaankhon hi aaankhon mein pate rahe
phir sab aapas mein mil kar
karachi se kunduz tak pesha karti hui kasbiyon
hijDon aur lounDon ke
pur-kaif qisse sunate rahe
gudgudate rahe
dil lubhate rahe
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.