qissa tamam
ḳhaak meñ ḳhaak milī
aur huā qissa tamām
aag meñ aag mile to bhaḌke
aab meñ aab mile to machle
ḳhaak meñ ḳhaak mile
aur ho sab qissa tamām
jaise saa.e pe girā ho saaya
jaise chhā jaa.e shaam
garm pur-shor se din kā ye bhayānak anjām
vaqt be-rahm
ġhazabnāk
balā kā saffāk
vaqt vo sail-e-ravāñ
jis ke aage jo chale vo bhī mare
jis se pīchhe jo rahe vo bhī mare
aur vo vaqt kī tasḳhīr ko niklā thā kabhī
phir vo raste meñ rahā
shaam huī
der huī
ḳhaak meñ ḳhaak milī
us ko ma.alūm thā ''ret ā.īna hai''
ā.īna kaisā hai kirchī kirchī
dhuup aisī ki muñDeroñ se girī jaatī hai
ḳhvāb se rañg churānā
aag se ḳhud ko bachānā koī āsāñ to nahīñ
vaqt se aage nikalnā hogā
so vo niklā aur phir
rañg meñ rañg milā
aag se aag jalī
ḳhaak meñ ḳhaak milī
zindagī khul ke hañsī
KHak mein KHak mili
aur hua qissa tamam
aag mein aag mile to bhaDke
aab mein aab mile to machle
KHak mein KHak mile
aur ho sab qissa tamam
jaise sae pe gira ho saya
jaise chha jae sham
garm pur-shor se din ka ye bhayanak anjam
waqt be-rahm
ghazabnak
bala ka saffak
waqt wo sail-e-rawan
jis ke aage jo chale wo bhi mare
jis se pichhe jo rahe wo bhi mare
aur wo waqt ki tasKHir ko nikla tha kabhi
phir wo raste mein raha
sham hui
der hui
KHak mein KHak mili
us ko malum tha ret aaina hai
aaina kaisa hai kirchi kirchi
dhup aisi ki munDeron se giri jati hai
KHwab se rang churana
aag se KHud ko bachana koi aasan to nahin
waqt se aage nikalna hoga
so wo nikla aur phir
rang mein rang mila
aag se aag jali
KHak mein KHak mili
zindagi khul ke hansi
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.