qita kya hai
kam se kam chaar misre haiñ qit.a suno
lutf le le ke ash.ār is ke paḌho
lo suno mujh se tum aaj qit.e kā haal
is meñ hotā hai ik markazī sā ḳhayāl
'shād'-o-'aḳhtar' ke mash.hūr qit.e hue
mar ke vo apne qit.oñ meñ zinda rahe
har kisī ko nahīñ aatā qit.e kā fan
hai alag bachcho ye ek tarz-e-suḳhan
ibtidā meñ na qit.a kā fan aa.egā
ye miyāñ ḳhud hī do sher ban jā.egā
qit.e dilkash kaho muḳhtasar bahr meñ
hoñge mash.hūr ye fikr ke shahr meñ
tifl-gāñ ke liye tum bhī qit.e kaho
aur 'hāfiz' jī ustād ban ke raho
kam se kam chaar misre hain qita suno
lutf le le ke ashaar is ke paDho
lo suno mujh se tum aaj qite ka haal
is mein hota hai ek markazi sa KHayal
'shad'-o-'aKHtar' ke mashhur qite hue
mar ke wo apne qiton mein zinda rahe
har kisi ko nahin aata qite ka fan
hai alag bachcho ye ek tarz-e-suKHan
ibtida mein na qita ka fan aaega
ye miyan KHud hi do sher ban jaega
qite dilkash kaho muKHtasar bahr mein
honge mashhur ye fikr ke shahr mein
tifl-gan ke liye tum bhi qite kaho
aur 'hafiz' ji ustad ban ke raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.