qubuliyat
aur phir aise huā ānand ḳhālī haath lauTā
aur kahā bhagvān is nagrī meñ aisā
ek daulat-mand bhī hai jis ko daulat se koī raġhbat nahīñ hai aur
saarā dhan hameñ bhikshā meñ denā chāhtā hai
ham to ḳhālī haath lauTe haiñ tathāgat
budh bole us kā denā farz hai lenā tumhārā
tum tahī dast-e-talab phailā.e jholī vā kiye jab
us ke darvāze pe jaate ho to apnā farz samjho
jo bhī mil jaa.e khule māthe se le lo
merī daryūza-garī kī ye hadīs-e-āḳhirī hai
go-mago kī kaifiyat meñ thā abhī ānand bolā
pīr-o-murshid sonā chāñdī to faqat maayā hai is se
bhikshuoñ kā kyā ta'alluq
budh bole
dast-e-daryūza-gar-o-darvesh ḳhālī hai agar apnī anā se
to use kyā ḳhauf maayā se jo kal tak
dast-e-hātim meñ thī lekin aaj us kī
apnī jholī meñ paḌī hai
sāhab-e-sarvat kī hātim kī saḳhāvat us kī tash.hīr-e-anā hai
aur tum apnī anā to ḳhatm kar baiThe ho ye tum jānte ho
is liye jo bhī mile manzūr kar lo
jo mile manzūr kar leñ
haañ sabhī kuchh
sonā chāñdī aur daulat bhī tathāgat
haañ sabhī kuchh
aur bhikshā meñ agar 'aurat mile to
hichkichā.e ek lamha chup rahe phir ek āh-e-sard bhar kar
zer-e-lab bole qubūliyyat kī koī had nahīñ hai
aur phir aise hua aanand KHali hath lauTa
aur kaha bhagwan is nagri mein aisa
ek daulat-mand bhi hai jis ko daulat se koi raghbat nahin hai aur
sara dhan hamein bhiksha mein dena chahta hai
hum to KHali hath lauTe hain tathagat
budh bole us ka dena farz hai lena tumhaara
tum tahi dast-e-talab phailae jholi wa kiye jab
us ke darwaze pe jate ho to apna farz samjho
jo bhi mil jae khule mathe se le lo
meri daryuza-gari ki ye hadis-e-aKHiri hai
go-mago ki kaifiyat mein tha abhi aanand bola
pir-o-murshid sona chandi to faqat maya hai is se
bhikshuon ka kya ta'alluq
budh bole
dast-e-daryuza-gar-o-darwesh KHali hai agar apni ana se
to use kya KHauf maya se jo kal tak
dast-e-hatim mein thi lekin aaj us ki
apni jholi mein paDi hai
sahab-e-sarwat ki hatim ki saKHawat us ki tashhir-e-ana hai
aur tum apni ana to KHatm kar baiThe ho ye tum jaante ho
is liye jo bhi mile manzur kar lo
jo mile manzur kar len
han sabhi kuchh
sona chandi aur daulat bhi tathagat
han sabhi kuchh
aur bhiksha mein agar 'aurat mile to
hichkichae ek lamha chup rahe phir ek aah-e-sard bhar kar
zer-e-lab bole qubuliyyat ki koi had nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.