qudrat ke tamashe
phuul khile haiñ rang-birange
gamloñ meñ jo biij the bo.e
un meñ se kuchh paude phūTe
kuchh ko gamloñ hī meñ chhoḌā
kuchh ko kyārī meñ jā boyā
un pe paḌīñ paanī kī phuvāreñ
jhuum uThī paudoñ kī qatāreñ
roz baḌhīñ vo añgul añgul
phailīñ patiyāñ ubhre DanThal
un meñ se phir kaliyāñ phūTīñ
rañgoñ kī pichkāriyāñ chhūTīñ
vo jo shaam ko ik kalī thī
sub.h huī to phuul banī thī
miTTī meñ to kuchh bhī nahīñ thā
daana hī bas ik boyā thā
aa.e kahāñ se phuul ye pyāre
itne achchhe itne pyāre
miTTī meñ se peḌ ubhre haiñ
shāḳhoñ meñ se phuul khile haiñ
phuul khile haiñ rang-birange
haiñ ye sab qudrat ke tamāshe
phul khile hain rang-birange
gamlon mein jo bij the boe
un mein se kuchh paude phuTe
kuchh ko gamlon hi mein chhoDa
kuchh ko kyari mein ja boya
un pe paDin pani ki phuwaren
jhum uThi paudon ki qataren
roz baDhin wo angul angul
phailin patiyan ubhre DanThal
un mein se phir kaliyan phuTin
rangon ki pichkariyan chhuTin
wo jo sham ko ek kali thi
subh hui to phul bani thi
miTTi mein to kuchh bhi nahin tha
dana hi bas ek boya tha
aae kahan se phul ye pyare
itne achchhe itne pyare
miTTi mein se peD ubhre hain
shaKHon mein se phul khile hain
phul khile hain rang-birange
hain ye sab qudrat ke tamashe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.