quqnus
mire quqnusā mire quqnusā
vo jo laavā tere dahan meñ thā
vo jo paarā tere badan meñ thā
vo jo aag tere paroñ meñ thī
use kaun qāfile le ga.e
use kaun qāfile le ga.e
tire halaq meñ vo safīr-e-ḳhvāb-e-azīm thī
ki ḳhalā-e-fikr meñ kho ke jo
tirī aabrū kā kafan banī
pas-e-nūr-e-sho.ala-e-āgahī
vo karāmateñ ki qafas qafas
vahī aag terī chitā kī thī
vahī shor terī sadā kā thā
vahī gulḳhan-e-zard-rū thā
vahī rauzan-e-sar-e-gard thā
vo tamāzat aisī balā kī thī
ki tamām shāhoñ kī naḳhvateñ
unhī gudḌiyoñ ke karam meñ thiiñ
jinheñ hāthiyoñ ne kuchal diyā
mire quqnusā mire quqnusā
zarā apne ḳhol ko toḌ kar
ki gale ke tāroñ ko joḌ kar
sar-e-koh-e-ḳhauf tulūa ho
ki tamām shahroñ meñ dar-ba-dar
ye jo zamharīr sitam kā hai
ye jo raakh tūr-e-alam kī hai
ye jo marg ahl-e-qalam kī hai
ye jo shakl rāh-e-adam kī hai
ye qusūr kis kā hai quqnusā
ye qusūr kis kā hai quqnusā
tirī haDDiyoñ meñ vo barf hai jo lahū ko sang banā ga.ī
tire qalb meñ vo glacier ki jo sūrajoñ ko bujhā gayā
tire sard-ḳhānoñ kī qaid se jo havā.eñ chhūT ke aa.ī thiiñ
mire dil kī saarī harārateñ vo jilau meñ bāñdh ke le ga.iiñ
zarā āñkheñ khol ke dekh tū
ki zamām-e-raḳhsh-e-habāb-e-jāñ
tirī muTThiyoñ meñ rahī nahīñ
mirī muTThiyoñ meñ rahī nahīñ
mere quqnusa mere quqnusa
wo jo lawa tere dahan mein tha
wo jo para tere badan mein tha
wo jo aag tere paron mein thi
use kaun qafile le gae
use kaun qafile le gae
tere halaq mein wo safir-e-KHwab-e-azim thi
ki KHala-e-fikr mein kho ke jo
teri aabru ka kafan bani
pas-e-nur-e-shoala-e-agahi
wo karamaten ki qafas qafas
wahi aag teri chita ki thi
wahi shor teri sada ka tha
wahi gulKHan-e-zard-ru tha
wahi rauzan-e-sar-e-gard tha
wo tamazat aisi bala ki thi
ki tamam shahon ki naKHwaten
unhi gudDiyon ke karam mein thin
jinhen hathiyon ne kuchal diya
mere quqnusa mere quqnusa
zara apne KHol ko toD kar
ki gale ke taron ko joD kar
sar-e-koh-e-KHauf tulua ho
ki tamam shahron mein dar-ba-dar
ye jo zamharir sitam ka hai
ye jo rakh tur-e-alam ki hai
ye jo marg ahl-e-qalam ki hai
ye jo shakl rah-e-adam ki hai
ye qusur kis ka hai quqnusa
ye qusur kis ka hai quqnusa
teri haDDiyon mein wo barf hai jo lahu ko sang bana gai
tere qalb mein wo glacier ki jo surajon ko bujha gaya
tere sard-KHanon ki qaid se jo hawaen chhuT ke aai thin
mere dil ki sari hararaten wo jilau mein bandh ke le gain
zara aankhen khol ke dekh tu
ki zamam-e-raKHsh-e-habab-e-jaan
teri muTThiyon mein rahi nahin
meri muTThiyon mein rahi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.