qurb-e-ilahi
maiñ thā qurb-e-ilāhī se shād-o-magan
us se mahv-e-suḳhan
ki achānak vahīñ
haañ haram ke qarīb
ek ma.asūm bachchī ne dekhā mujhe
us kī nazroñ meñ to
hasrat-o-yās thī
ik zamāne kī shāyad
vahāñ pyaas thī
maañ kī mamtā kī pyaas
baabā jaanī kī pyaas
ghar ke āñgan kī pyaas
ḳhush-libāsī kī pyaas
khāne paanī kī pyaas
kho.e bachpan kī pyaas
kuchh laḌakpan kī pyaas
gahne kañgan kī pyaas
us kī āñkhoñ ne mujh se sabhī kah diyā
us ne hoñToñ ko hilne kī zahmat na dī
peT paale hai vo
Topiyāñ bech kar
shohratoñ ko miyāñ
kuchh anā bech kar
apne sar pe vo chādar sajā.e hue
dhuul miTTī se ḳhud ko bachā.e hue
sau savāloñ ko ḳhud meñ samā.e hue
pair taptī zamīñ par jamā.e hue
Dhāñptī hai vo logoñ ke
sar aur badan
bāñdhe sar pe kafan
mere dil ne kahā
shafqat-e-bāp kyā hai batā de ise
maañ kī mamtā kahīñ se lā de ise
ḳhvāhisheñ puurī hoñ
saarī pyāseñ bujheñ
āb-e-zam-zam kuchh aisā pilā de ise
us ke chehre se phir merī nazreñ haTeñ
aur achānak meñ phir qibla-rū ho gayā
haath uTThe duā ko ki ai kibriyā
tere ghar meñ to bas nuur hī nuur hai
par tire sahn meñ
kitnī māyūs nannhī sī ik huur hai
is kī chādar ko pur-nūr kar de ḳhudā
is ke ġham saare tū duur kar de ḳhudā
terī rahmat ke dāman meñ kyā kuchh nahīñ
tere āñgan meñ kab se duā-go hai ye
ai ḳhudā tere āñgan meñ kyā kuchh nahīñ
main tha qurb-e-ilahi se shad-o-magan
us se mahw-e-suKHan
ki achanak wahin
han haram ke qarib
ek masum bachchi ne dekha mujhe
us ki nazron mein to
hasrat-o-yas thi
ek zamane ki shayad
wahan pyas thi
man ki mamta ki pyas
baba jaani ki pyas
ghar ke aangan ki pyas
KHush-libasi ki pyas
khane pani ki pyas
khoe bachpan ki pyas
kuchh laDakpan ki pyas
gahne kangan ki pyas
us ki aankhon ne mujh se sabhi kah diya
us ne honTon ko hilne ki zahmat na di
peT pale hai wo
Topiyan bech kar
shohraton ko miyan
kuchh ana bech kar
apne sar pe wo chadar sajae hue
dhul miTTi se KHud ko bachae hue
sau sawalon ko KHud mein samae hue
pair tapti zamin par jamae hue
Dhanpti hai wo logon ke
sar aur badan
bandhe sar pe kafan
mere dil ne kaha
shafqat-e-bap kya hai bata de ise
man ki mamta kahin se la de ise
KHwahishen puri hon
sari pyasen bujhen
aab-e-zam-zam kuchh aisa pila de ise
us ke chehre se phir meri nazren haTen
aur achanak mein phir qibla-ru ho gaya
hath uTThe dua ko ki ai kibriya
tere ghar mein to bas nur hi nur hai
par tere sahn mein
kitni mayus nannhi si ek hur hai
is ki chadar ko pur-nur kar de KHuda
is ke gham sare tu dur kar de KHuda
teri rahmat ke daman mein kya kuchh nahin
tere aangan mein kab se dua-go hai ye
ai KHuda tere aangan mein kya kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.