qurb-e-qayamat
ye chiḌiyā jo pañkhe se Takrā ga.ī hai
use to faqat āshiyāna banāne kī dhun thī
use vaqt kī piiTh se laakh do laakh sāloñ ke girne kā andāza kab thā
use kyā ḳhabar thī
vo sarsabz ayyām murjhā chuke haiñ
vo insāñ se pahle ke shādāb jañgal
jahāñ ghoñsloñ aur uḌānoñ ke mā-bain
dhātoñ kī parrāñ fasleñ nahīñ thiiñ
uqāboñ ke par aaj bhī sarsarā.eñ
to ma.asūm chiḌiyoñ ke dil sahm jaa.eñ
magar un ko ma.alūm kyā hai
ki qurb-e-qayāmat ke āsār paidā haiñ
be-jān lohe ko par lag ga.e haiñ
ye chiDiya jo pankhe se Takra gai hai
use to faqat aashiyana banane ki dhun thi
use waqt ki piTh se lakh do lakh salon ke girne ka andaza kab tha
use kya KHabar thi
wo sarsabz ayyam murjha chuke hain
wo insan se pahle ke shadab jangal
jahan ghonslon aur uDanon ke ma-bain
dhaton ki parran faslen nahin thin
uqabon ke par aaj bhi sarsaraen
to masum chiDiyon ke dil sahm jaen
magar un ko malum kya hai
ki qurb-e-qayamat ke aasar paida hain
be-jaan lohe ko par lag gae hain
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.