qurbani ke bakre
phir aa gayā hai mulk meñ qurbāniyoñ kā maal
kī iḳhtiyār qīmatoñ ne rākiToñ kī chaal
qāmat meñ bakrā uuñT kī qīmat kā ham-ḳhayāl
dil baiThtā hai uThte hī qurbānī kā savāl
qīmat ne aadmī hī ko bakrā banā diyā
bakre ko misl-e-nāqa-e-lailā banā diyā
bakre ke pīchhe pīchhe haiñ majnūñ kā bhar ke svāñg
gar ho sake ḳharīdiy.e bakre kī ek Taañg
qīmat jo Taañg kī hai lagā degī phir chhalāñg
''mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na māñg''
''TeḌhā lagā hai qat qalam-e-sarnavisht ko''
mahñgā.ī meñ chalā hai ye bakrā bahisht ko
dehāt se jo shahar meñ bakroñ ko laa.e haiñ
ma.alūm ho rahā hai vo jannat se aa.e haiñ
qīmat ne āsmān ke taare dikhā.e haiñ
bakrā nahīñ ḳharīdā gunah baḳhshvā.e haiñ
qurbānī aise haal meñ amr-e-muhāl hai
bakrā ''tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai''
qurbānī ho bhī jaa.e magar khiñch rahī hai khaal
ai gosht khāne vaalo zarā ḳhud karo ḳhayāl
bakre ke saath hotā hai gāhak kā intiqāl
gar qīmateñ yahī haiñ to jiine kā kyā savāl
haiñ gallā-bān logoñ ke pīchhe paḌe hue
aur bakrā le ke ham bhī haiñ murġhe bane hue
chaurāhoñ par khaḌe hue bakroñ ke haiñ jo ġhol
tū un ke muñh ko khol ke dāñtoñ ko mat TaTol
qīmat meñ varna aa.egā fauran hī itnā jhol
sone kā jaise bakrā ho aisā paḌegā mol
ḳhud hī kahegā bakrā ki tujh meñ agar hai aql
''apnī galī meñ mujh ko na kar dafn ba.ad-e-qatl''
bakre tamām raah meñ huñkārte chale
bañgloñ ke bel-būToñ pe muñh mārte chale
jis ghar meñ ghus ga.e vahīñ iftārte chale
aur jab hile jagah se to siskārte chale
ghar vaale kah rahe haiñ ki bāhar nikāl do
bakre musir haiñ is pe ki Derā hī Daal do
bakrā jo siiñg vaalā bhī hai aur fasādī hai
us ne siyāsī-jalsoñ meñ gaḌbaḌ machā dī hai
chalte hue julūs meñ Takkar lagā dī hai
aur votaroñ meñ pārTī-bāzī karā dī hai
bakre haiñ leaderoñ kī tarah jin pe jhuul hai
hunkārte haiñ chup bhī karānā fuzūl hai
bakre jo phir rahe haiñ saḌak par idhar udhar
jalsoñ meñ aur julūsoñ meñ karte haiñ shab basar
bakre kī puurī nasl se bezār haiñ bashar
jamhūriyat ke bakroñ kī le kyā koī ḳhabar
Dar hai ki bakrā bhuuk kī haḌtāl kar na jaa.e
manhūs sab ke vāste ye saal kar na jaa.e
qurbāniyoñ kā daur hai bakroñ kī ḳhair ho
hai aur baat hālat-e-insān ġhair ho
qarze meñ us kā jakḌā huā haath pair ho
lekin nasīb bakre ko jannat kī sair ho
bakre ke sar pe aa.egī shāmat hī kyuuñ na ho
''is meñ hamāre sar pe qayāmat hī kyuuñ na ho''
bakroñ kī itnī garmī-e-bāzār dekh kar
aur qīmatoñ kī tezī-e-raftār dekh kar
bakrā ḳharīdā sastā sā bīmār dekh kar
jo mar gayā chhurī pe mirī dhaar dekh kar
mere nasīb meñ na thī qurbānī kī ḳhushī
is maslahat se kar lī hai bakre ne ḳhud-kushī
phir aa gaya hai mulk mein qurbaniyon ka mal
ki iKHtiyar qimaton ne rakiTon ki chaal
qamat mein bakra unT ki qimat ka ham-KHayal
dil baiThta hai uThte hi qurbani ka sawal
qimat ne aadmi hi ko bakra bana diya
bakre ko misl-e-naqa-e-laila bana diya
bakre ke pichhe pichhe hain majnun ka bhar ke swang
gar ho sake KHaridiye bakre ki ek Tang
qimat jo Tang ki hai laga degi phir chhalang
mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang
TeDha laga hai qat qalam-e-sarnawisht ko
mahngai mein chala hai ye bakra bahisht ko
dehat se jo shahar mein bakron ko lae hain
malum ho raha hai wo jannat se aae hain
qimat ne aasman ke tare dikhae hain
bakra nahin KHarida gunah baKHshwae hain
qurbani aise haal mein amr-e-muhaal hai
bakra tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai
qurbani ho bhi jae magar khinch rahi hai khaal
ai gosht khane walo zara KHud karo KHayal
bakre ke sath hota hai gahak ka intiqal
gar qimaten yahi hain to jine ka kya sawal
hain galla-ban logon ke pichhe paDe hue
aur bakra le ke hum bhi hain murghe bane hue
chaurahon par khaDe hue bakron ke hain jo ghol
tu un ke munh ko khol ke danton ko mat TaTol
qimat mein warna aaega fauran hi itna jhol
sone ka jaise bakra ho aisa paDega mol
KHud hi kahega bakra ki tujh mein agar hai aql
apni gali mein mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
bakre tamam rah mein hunkarte chale
banglon ke bel-buTon pe munh marte chale
jis ghar mein ghus gae wahin iftarte chale
aur jab hile jagah se to siskarte chale
ghar wale kah rahe hain ki bahar nikal do
bakre musir hain is pe ki Dera hi Dal do
bakra jo sing wala bhi hai aur fasadi hai
us ne siyasi-jalson mein gaDbaD macha di hai
chalte hue julus mein Takkar laga di hai
aur wotaron mein parTi-bazi kara di hai
bakre hain leaderon ki tarah jin pe jhul hai
hunkarte hain chup bhi karana fuzul hai
bakre jo phir rahe hain saDak par idhar udhar
jalson mein aur juluson mein karte hain shab basar
bakre ki puri nasl se bezar hain bashar
jamhuriyat ke bakron ki le kya koi KHabar
Dar hai ki bakra bhuk ki haDtal kar na jae
manhus sab ke waste ye sal kar na jae
qurbaniyon ka daur hai bakron ki KHair ho
hai aur baat haalat-e-insan ghair ho
qarze mein us ka jakDa hua hath pair ho
lekin nasib bakre ko jannat ki sair ho
bakre ke sar pe aaegi shamat hi kyun na ho
is mein hamare sar pe qayamat hi kyun na ho
bakron ki itni garmi-e-bazar dekh kar
aur qimaton ki tezi-e-raftar dekh kar
bakra KHarida sasta sa bimar dekh kar
jo mar gaya chhuri pe meri dhaar dekh kar
mere nasib mein na thi qurbani ki KHushi
is maslahat se kar li hai bakre ne KHud-kushi
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 20)
- Author : sayed Zameer jafary
- Publication : dost publications (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.