qurrat-ul-ain-tahira ke liye ek nazm
ai qatīl-e-harf-e-lā
ai māh-e-qazvīñ sun
tire iqbāl kā marqad charāġh-e-asr thā
ab tāq-e-nisyāñ meñ sajāyā jā chukā hai
niil ke sāhil se le kar tā-ba-ḳhāk kā sher
ik ḳhvāb thā shāyad bhulāyā jā chukā hai
aur hamārī lok-dānish kā hamāre madrasoñ meñ dāḳhila mamnūa Thahrā hai
zar-e-ḳhālis luTāyā jā rahā hai ko.eloñ par saḳht pahrā hai
purāne mābadoñ ke tāqchoñ meñ gard uḌtī hai
gulistāñ bostāñ va bulbul-e-shīrāz bhī yaañ ajnabī Thahre
mujhe ab kaun pūchhegā
qatīl-e-harf-e-lā
kā.enātī ishāriya
vahāñ jo kuchh huā hai raushnī mujh ko batātī hai
yahāñ jo ho rahā hai raushnī tum ko batā.ege
magar ye raushnī aage bhī jā.egī
har ik shai ko bil-āḳhir nuur ke sāñche meñ Dhalnā hai
hameñ bhī do qadam is raushnī ke saath chalnā hai
ye musht-e-ḳhāk bhī maqdūr-bhar to jagmagā.egī
mashiyyat muskurā.egī
magar ye raushnī aage bhī jā.egī
ai qatil-e-harf-e-la
ai mah-e-qazwin sun
tere iqbaal ka marqad charagh-e-asr tha
ab taq-e-nisyan mein sajaya ja chuka hai
nil ke sahil se le kar ta-ba-KHak ka sher
ek KHwab tha shayad bhulaya ja chuka hai
aur hamari lok-danish ka hamare madrason mein daKHila mamnua Thahra hai
zar-e-KHalis luTaya ja raha hai koelon par saKHt pahra hai
purane mabadon ke taqchon mein gard uDti hai
gulistan bostan wa bulbul-e-shiraaz bhi yan ajnabi Thahre
mujhe ab kaun puchhega
qatil-e-harf-e-la
kaenati ishaariya
wahan jo kuchh hua hai raushni mujh ko batati hai
yahan jo ho raha hai raushni tum ko bataege
magar ye raushni aage bhi jaegi
har ek shai ko bil-aKHir nur ke sanche mein Dhalna hai
hamein bhi do qadam is raushni ke sath chalna hai
ye musht-e-KHak bhi maqdur-bhar to jagmagaegi
mashiyyat muskuraegi
magar ye raushni aage bhi jaegi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 209)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.