qurratulain ki ruKHsati par
kaliyāñ jab khiltī haiñ
to sundar lagtī haiñ
mere ghar meñ bhī the
chaar shagūfe phūTe
āñgan un kī ḳhushbū se the mahke
aah magar ye rasm-e-duniyā
jis se bach na paa.eñ
kaT kar apnī shāḳh se sab gul
ġhairoñ ke ghar jaa.eñ
so.e merī momo pyārī
tum par paayā jaañ se vaarī
do TukḌe to pahle dil ke kaaT chukā thā
ab aa.ī hai terī baarī
dulhā sañg tum car meñ baiTho
merī jānib yuuñ na dekho
merā kyā hai jī lūñgā maiñ
jaise pahle siyā thā maiñ ne
zaḳhm-e-dil phir sī lūñgā maiñ
koī daanā koī aaqil
koī an-paḌh koī jāhil
bhed zarā ye khole
koī to āḳhir bole
kaliyāñ kyuuñ ye āñgan meñ khiltī haiñ
ḳhushiyāñ kyūñkar dukh se jā miltī haiñ
kaliyan jab khilti hain
to sundar lagti hain
mere ghar mein bhi the
chaar shagufe phuTe
aangan un ki KHushbu se the mahke
aah magar ye rasm-e-duniya
jis se bach na paen
kaT kar apni shaKH se sab gul
ghairon ke ghar jaen
soe meri momo pyari
tum par paya jaan se wari
do TukDe to pahle dil ke kaT chuka tha
ab aai hai teri bari
dulha sang tum car mein baiTho
meri jaanib yun na dekho
mera kya hai ji lunga main
jaise pahle siya tha main ne
zaKHm-e-dil phir si lunga main
koi dana koi aaqil
koi an-paDh koi jahil
bhed zara ye khole
koi to aaKHir bole
kaliyan kyun ye aangan mein khilti hain
KHushiyan kyunkar dukh se ja milti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.